Javed Akhtar Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Yeh Mujhse Puchhate Hai Doctor Kyu

Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda Toh Hai Ab Tak, Magar Kyu,

Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,
Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,

Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,
Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,

Yahan Bhi Sab Hai Begana Hi Mujhse
Kahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,

Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai Toh Main Deedavar Kyu.

Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna

Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna,
Na Sar Pathar Se Takraye Toh Kahna,

Yeh Gull Kagaj Hain Yeh Jewar Hain Peetal,
Samajh Mein Jab Yeh Aa Jaye Toh Kahna,

Bahut Khus Ho Ke Usne Kuchh Kaha Hai,
Na Kahkar Woh Mukar Jaaye Toh Kahna,

Bahal Jaaoge Tum Gham Sun Kar Mere,
Kabhi Dil Gham Se Ghabraye Toh Kahna,

Dhuan Jo Kuchh Gharo Se Uthh Raha Hai,
Na Poore Sahar Par Chhaye Toh Kahna.

Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya

Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya,
Aur Fir Main Door Se Dekha Kiya,

Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usul,
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,

Bandh Gayi Thi Dil Mein Kuchh Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Achha Kiya,

Kuchh Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,

Kya Batau Kon Tha Jisne Mujhe,
Is Bhri Duniya Mein Hai Tanha Kiya.

Yaad Usse Bhi Ek Adhura Afsana

Yaad Usse Bhi Ek Adura Afsana Toh Hoga,
Kal Raaste Mein Usne Humko Pahchana Toh Hoga,

Dar Humko Bhi Lagta Hai Raste Ke Sannate Se,
Lekin Ek Safar Par Eh Dil Ab Jana Toh Hoga,

Kuchh Baton Ke Matlab Hain Aur Kuchh Matlab Ki Baatein,
Jo Yeh Fark Samajh Lega Woh Deewana Toh Hoga,

Dil Ki Baaatein Nahi Hain Toh Dilchasp Hi Kuchh Batein Ho,
Jinda Rahna Hai Toh Dil Ko Bahlana Toh Hoga,

Jeet Ke Bhi Woh Sarminda Hai Haar Ke Bhi Hum Garvit,
Kam Se Kam Woh Dil Hi Dil Mein Yeh Mana Toh Hoga.

Do Kinaaro Ka Kahin Sangam Nahi Hota

Do Kinaaro’n Ka Kahi’n Sangam Nahi Hota,
Agar’chay Do Kinaro’n Ka Kahi’n Sangam Nahi Hota,
Magar Ek Saath Chalna Bhi To Koi Kam Nahi Hota,

Badan Se Rooh Jaati Hai To Bichh’ti Hai Saff-E-Maatam,
Magar Kirdaar Marr Jaaye To Kyun Maatam Nahi Hota?

Hazaaro’n Zulmato’n Mai’n Bhi Jawaa’n Rehti Hai Lau Us Ki,
Charaagh-E-Ishq Jalta Hai To Phir Maddham Nahi Hota,

Wo Aankhei’n Ek Lutaa Ghar Hai’n, Jaha’n Aansoo Nahi Rehtay,
Wo Dil Pathar Hai, Jis Dil Mai’n Kisi Ka Gham Nahi Hota.