Apne Har Ek Lafz Ka Khud Aaina


Apne har ek lafz ka khud aainaa ho jaaunga
Us ko chhota keh ke mein kaise bada ho jaaunga

Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
Mein gira to mas’ala bankar khada ho jaaunga

Mujh ko chalne do, akela hai abhi mera safar
Raasta roka gayaa to qafila ho jaaunga

Sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ek tere kehne se kya main be-wafa ho jaaunga?

apne-har-ek-lafz-ka-khud-aaina

Leave a comment