Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar


Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,
Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,

Abhi tere labon pe zikar fasl-e-gul nahin aya,
Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,

Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,
Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,

Vasaal-o-hijar apne yaksaa’n* hain, woh manzar hai chahat mein,
Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon,

Abhi tere siwaa duniyaa bhi hai maujood is dil main,
Main khud ko kiss tarah tere baraabar dekh sakti hoon..

Leave a comment