Dil Ki Baat Labon Par Lakar
Dil ki baat labon par lakar ab tak hum dukh sahate hain,
hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rehte hain,
bit gaya savan ka mahina mausam ne nazaren badali,
lekin in pyasi aankhon mein ab tak aansu behte hain,
ek hamen aawara kahana koi bada ilzam nahi,
duniya wale dil valon ko aur bahut kuch kahate hain,
jis ke khatir shahar bhi choda jis ke liye badnam hue,
aj wohi hum se begane begane se rehte hain,
wo jo abhi rahguzar se chak-e-gareban guzra tha,
us aawara divane ko ‘jalib’-‘jalib’ kahate hain.
More Entries
- Saamane Hai Jo Use Log Buraa
- Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayen Hum
- Tumhare Shahar Mein Ye Shor Sun-Sun Kar
- Falak Pe Chand K Hale Bhi Sog Karte Hain
- Jab Bhi Haath Uthein
- Chale Gaye Ho Door Kuch Pal
- Naye Kapre Badal Kar Jaun Kahan
- Ishq Wale Ankhon Ki Baat
- Is Sahar-E-Kharabi Mein Gam-E-Ishq
- Taras Gye Hum Tere Labon Se