Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai.
“Zakham Itne Gehre Hai Izhaar Kya Kare,
Hum Khud Nishana Bann Gaye Waar Kya Kare,
Mar Gaye Hum Magar Khuli Rahi Aankhe,
Ab Isse Zyada Unka Intezaar Kya Karee”.
Kahne ko to ye khat kagaz ki hai,
Mager ye ailaan mere mohabbat ki hai,
Badi shidat se likha hai Ise Izhaar ke waste,
Aye khuda ab thodi jarurat teri Inayat ki hai.
Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hain,
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehte Hain,
Sirf Paane Ka Naam Ishq Nahin,
Kuch Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hain.
Yu to sapne bahut hasi hote hai,
par sapno se pyaar nahi karte,
chahate to unhe hum aaj bhi hai,
bas izhar nahi karte.
Dil mera pyar ke qabil na raha,
koi bhi izhar ke qabil na reha,
is dil main bas gayi dosti aapki,
ab to gulab bhi deedar ke kabil na raha.
Jisko Chaho Use Chahat Bata Bhi Dena,
Kitna Pyaar Hai Usse Yeh Jata Bhi Dena,
Yun Na Ho Ki Uska Dil Kahin Aur Lag Jaye,
Karke Izhaar Uske Dil Ko Chura Bhi Lena.
Izhar Mohabbat Ka Kuch Aise Hua,
Kya Kahein Ki Pyaar Kaise Hua,
Unki Ek Jhalak Pe Nisaar Hue Hum,
Saadgi Pe Mar-Mite Aur Aankho Se Iqraar Hua.
Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha,
Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha,
Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha,
Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon.
Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na,
Aaj Mujh Pe Tum Inayat Kar Do Na,
Zara Chupke Se Khamoshi Se,
Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na.