Shayari On Galti - Hindi Shayari

Kehte Hai Ki Khuda Kabhi

Kehte hai ki khuda kabhi galti nahi karta ,
Par kismat ko meri likhte waqt khud khuda ne bhi galati kar di,
Taqdeer main naam likha kisi aur ka, aur
Dil main chaahat kisi aur ki bhar di

kehte-hai-ki-khuda-kabhi

Dil Ab Bhi Majbur Hai

Dil ab bhi majbur hai yaaro tumhari yaad me,
Waqt ab bhi guzarta hai bs tumhari yaad me,
Jane kab kya galti ho gai mujhse jo di aaisi saza,
Laut aao ki dil to hai ab bhi tumhare hi paas me

dil-ab-bhi-majbur-hai

Humse Na Jane Kaisi Galti Ho Gayi

Humse na jane kaisi galti ho gayi,
saja bhi had se zada ho gayi,
mana ki jeete hum hain,
magar ab wo baaji bhi tumhari ho gayi.

humse-na-jane-kaisi-galti-ho-gayi

Suhani Raaton Ki Chandni Mein Kabhi

Suhani Raaton Ki Chandni Mein Kabhi Na Tum Be-Naqaab Aana,
Main Dil Pe Qaaboo To Kar Sakoon Ga Nigah Shayid Gunah Karde.

suhani-raaton-ki-chandni-mein-kabhi

Khuda Ka Wasta Khud Ko

Khuda Ka Wasta Khud Ko Kam Nazar Na Karna,
Jo Tera Sath Ne De us Ko Hamsafar Na Karna,
Jo Bhi Galti Tum Se Hui So Hui,
Ye Nadani Dobara Ab Umar Bhar Na Karna.

khuda-ka-wasta-khud-ko

Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me

Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle,
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle,
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye,
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle.

aasoo-aa-jate-hain-ankhon-me

Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch

Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch Hadd Se Zyada Hai,
Tere Sang Na Hone Ka Malaal Kuch Hadd Se Zyada Hai,
Phir Bhi Kaat Rahe Yeh Jiye Jane Ki Saza Yehi Sochkar,
Shayad Is Zindagani Mein Mere Gunaah Kuch Hadd Se Zyada Hai.

aaj-yeh-tanhai-ka-ehsaas-kuch

Wo Mera Hai To Wo Mujhse

Wo Mera Hai To Wo Mujhse Door Kyun Hain?
Door Rehkar Jeene Ko Hum Majboor Kyun Hain?
Gunah(Pyar)Hum Dono Ne Kiya Tha Ek Jaisa,
To Mera Kasoor Kyun Hai Aur Wo Bekasoor Kyun Hai..

wo-mera-hai-to-wo-mujhse

Galti Karke Woh Galti Ka Naam

Galti karke woh galti ka naam puchhate hain,
Dard dekar woh dawa ka naam puchhate hain,
Mar gaye hum unki isi adaa pe,
Hokar meri jaan meri jaan ka naam puchhate hain

galti-karke-woh-galti-ka-naam

Zabt Karte Hain Aah Karte Hain

Zabt Karte Hain Aah Karte Hain,
Zindagi U Hi Tabah Karte Hain,
Raoze Mahsher Ka Khauf Hai Phir Bhi,
Darr Darr K Hum Gunah Karte Hain.

zabt-karte-hain-aah-karte-hain