Shayari On Eid - Hindi Shayari

Jab Chahein Hum Eid Mana Le

Jab chahein hum EID mana le,
Chaand hamara apna hai.

Namaaz Parh Ke Tere Gham

Namaaz Parh Ke Tere Gham Galay Laga Loon Ga,
Akailay Eid Manaana Meri Sarshat Nahi.

Sahib-E-Aqal Hain Aap Ik Masla

Sahib-e-aqal hain aap ik masla tu hal kijiye,
Rukh-e-yaar nahi dekha kya meri eid ho gayi.

Kitni Mushkilon Se Falak Par Nazar Ata Hai

kitni Mushkilon Se Falak per Nazar Ata hai,
Eid ke Chand Ka Andaaz Tumhare Jesa Hai..

Eid Ke Roz Bhi Taqdeer Se Majboor The Hum

Eid ke roz bhi taqdeer se majboor the hum,
Ro parre mil ke gale aap ki tasveer se hum.

Chand Ho Eid Ka To Naaz Niraaley Hain

Chand ho eid ka to naaz niraaley hain,
Dekho is ke sabhi andaaz tumhare wale hain..

Maine Yoon Teri Yaadein Sambhaali Hain

Maine yoon teri yaadein sambhaali hain,
Jaise eidi ho mere masoom bachpan ki.

Kash Iss Eid Ka Haseen Lamho Mein

Kash iss eid ke haseen lamhon mein,
Meri zaat-e-gumshuda tujhe yaad aye.

Eid Ka Rang Chehre Se Chupaaon Kaise

Eid ka rang chehre se chupaaon kaise,
Tu meri rooh main dhoondne jaon kaise,

Mera har din teri chahat mein eid ka din,
Main sirf aik hi din mehndi lagaaon kaise..

Eid Pe Milne Ka Vaada Tha Jis Ka

Eid pe milne ka vaada tha jis ka,
chaand ka hamrah us ka rasta dekhoon gi,

Koi to aesi bhi eid aa jaye gi,
Ujrre dil ko mein bhi basta dekhoon gi.

Main Hoon Tera Khayal Hai

Main hoon tera khayal hai chand raat hai,
Dil dard se niddhaal hai aur chand raat hai,

Eid aayi hai magar dil bechaini se bhara hai,
Teri be’dardiyon ka kamaal hai aur chand raat hai,

Dekha Eid Ka Chaand To Maangi

Dekha eid ka chaand to maangi yeh dua rab se,
Dede tera saath eid ka tohfaa samajh ke.

Aap Idhar Aaye Udhar Deen

Aap idhar aaye udhar deen aur emaan geya,
Eid ka chaand nazar aaya to ramzaan geya.

Uss Se Milna To Ussey Eid Mubarak Kehna

Uss se milna to ussey eid mubarak kehna,
Yeh bhi kehna meri eid mubaarak kar de.

Khushi Ke Geet Gaao Eid Aayi Hai

Khushi ke geet gaao eid aayi hai,
Hanssi labon pe sajaao eid aayi hai,

Parinde bolte hain dil ki baat karte hain,
Tum apna haal sunaao eid aayi hai,

Fizaa main rang hain aur rang dilnasheen,
Nazzar se dil main bassaao eid aayi hai,

Khille hain phool aur mehek rahi hai fizaa,
Dilon ke ranjj mittaao eid aayi hai,

Chalo ke dil ki udaasi ko hatam karte hain,
Khushiyon ko dhoond ke laao eid aayi hai..

Aaj Bohat Saalon Baad

Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai,
us ne khusbhuu ke jhoolon main,
phoolon ki khawhishen bhejin,
us ne taaron ki thandi chaaon,
aur khawbon ki titliyaan bhejin,
aik vaada-e-fardaa bheja us ne,
saath nibhaane ka,
chorr na jaane ka,

Talkhiyaan Chubhne Lagi Jab Zeest

Talkhiyaan chubhne lagi jab zeest ke paimaane main,
Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand.

Koi Itna Chahe Tumhe To Batana

Koi itna Chahe Tumhe to batana,
Koi tumhare itne Naaz uthaaye to Batana,
EID MUBARAK to har koi Keh dega tumse,
Koi Hamari tarah kahe to batana.

Jo Tune Itne Din Ibadat Ki Hai

Jo Tune Itne Din Ibadat Ki Hai,
Khuda Ne Bhi Tujpe Aaj Rehmat Ki Hai,
De Ne Ke Liye Tujko Ek Khusiyo Ka Din,
Usne Banaya Hai Ye Eid Ka Din.

Badal Se Badal Milte Hai

Badal Se Badal Milte Hai To Barish Hoti Hai,
Dost Se Dost Milte Hai To Eid Hoti Hai.