Tera Aks Ban Jaaye Mera Wajood Is Faasile Ko,
Mitaoon Kaise Kuch Din To Aitbaar Mein Bitaa Leta Hoon, Mahine Intezaar Mein Bitaoon Kaise Tum Meri Ho.
Raah-e-gum-karda Taaron Ki Tarah,
Phir Sitaare Safar Pe Chalne Lage,
Phir Nigaahon Mein Dhool Udti Hai,
Aks Phir Aaine Badalne Lage.
Aks To The Maujood Par Aks Tanhai Ke The,
2 Raat Bhar Uski Hi Aahat Kaan Mein Mere Aati Rahi,
Jhaank Kar Dekha Gali Mein To Koi Aaya na
Fir Na Ubhra Jo Yahan Dooba,
Mujko Mere Aks Se Badhne Nahi Deta Tha Wo,
Mere Aur Dunia Ke Bich Ek Aayine Jaisa Tha Wo.
Aks-o-Aina Me Ab Rabt Ho Kya Tere Baad,
Hum To Phirte Hain Khud Apne Se Khafa.
Chala Aata Hai Tera Aks Mere Khayalon Mai Aksar ,
Tujhe Ho Na Ho Teri Rooh Ko Zaroor Mohabbat Hai Mujh Se.
Raiza Raiza Hai Aks Mera,
Magar Hairat Yeh Hai,
Hai Mera Aayina Salamat,
Phir Toota Kya Hai.