Tasveer Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Aaj Dil Puch Baitha

Aaj dil puch baitha apni hi tasveer se,
tune kya paya hai taqdeer se,
teri tasveer dil me basa ker mene kaha,
ye pyara sa dost paya he duniya ki bheed se..

Aaj Dil Puch Baitha

Chahat Hamari Hogi

Chahat Hamari Hogi Ek Geet Ki Tarha,
Rab Khud Hume Milaayega Ek Jeet Ki Tarha,
Rang Zarur Laayengi Hamaari Ye Duayen,
Hum Rehne Naa Denge Tujhe Kisi Tasveer Ki Tarha.

Chahat Hamari Hogi

Muddaton Pehle Jab Tujh Se

Muddaton Pehle Jab Tujh Se Taarruf Bhi Na Tha
Teri Tasveer Banaate The Khayaalat Mere

Muddaton Pehle Jab Tujh Se

Gam Na Karna Kabhi

Gam Na Karna Kabhi Zindgi Me,
Kyuki Taqdeer Badalti Rehti Hai,
Shesha Wahi Rehta Hai,
Bas Tasveer Badalti Rehti Hai…

Gam Na Karna Kabhi

Kal Raat Sapne Mein Teri

Kal Raat Sapne Mein Teri Tasveer Banna Dali,
Itni Achi Laggi Ki Dil Se Lagga Dali,
Phir Darr Laga Koi Chura Na Le,
Tab Itna Roiya Ki Aansuo Se Mita Dali.

Kal Raat Sapne Mein Teri

Sunaat Ke Musavvir Ne

Sunaat Ke Musavvir Ne Sabaahat Ke Safeh Par
Tasveer Banaai Hai Tere Noor Ko Hal Kar

Sunaat Ke Musavvir Ne

Rang Wale Rang Se

Rang Wale Rang Se Tasveer Badal Dete Hain,
Nikle Hue Kamaan Se Teer Badal Dete Hain,
Tumse Mere Do Aansu Na Badle Gaye,
Badalne Wale To Taqdeer Badal Dete Hain..

Rang Wale Rang Se

Aaine Ki Haqiqat Tasveer

Aaine ki haqiqat tasveer kaise batyegi,
Tute dil ki hasrat janjeer na kah payegi,
Hausla rakhna yeh kahte hai sabhi log duniya mein,
Per kya hausla rakhne se taqdeer badal jayegi?

Aaine Ki Haqiqat Tasveer

Ham Un Ki Tasveer Dil Mein

Ham Un Ki Tasveer Dil Men Chhipaaye Baithe Hain
Veeraan Zindagi Mein Ek Gul Khilaaye Baithe Hain

Ham Un Ki Tasveer Dil Mein

Na Tasvir Hai Uski

Na tasvir hai uski,
jo didar kiya jaye,
Na pas hai vo, k use pyar kiya jae,
Ye kesa dard diya hai us bedard ne,
Na usse kuch kaha jaye, Na uske bin raha jaye..

Na Tasvir Hai Uski

Nishane Per Jo Lag Jaaye

Nishane Per Jo Lag Jaaye Use Kehte Hain TEER,
Dil Mei Jo Utar Jaaye Use Kehte Hain TASVEER,
Aap Jaiso Ka Saath Mil Jaaye Use Kehte Hain TAQDEER.

Nishane Per Jo Lag Jaaye

Meri Tasveer Mein Rang

Meri Tasveer Mein Rang Aur Kisi Kaa To Nahin
Gher Len Mujh Ko Sab Aa Ke Main Tamaasha To Nahin

Meri Tasveer Mein Rang

Chehre Pe Ashko Ki Lakeer

Chehre Pe Ashko Ki Lakeer Ban Gayi,
Jo Na Chaha Tha Wo Takdeer Ban Gayi,
Humne To Chalayi Thi Ret Per Ungli,
Gaur Se Dekha To Unki Tasveer Ban Gayi..

Chehre Pe Ashko Ki Lakeer

Juda Hai To Kya Hua

Juda Hai To Kya Hua Doori To Nahi,
Baat Bhi Na Ho Aisi Majboori To Nahi,
Nazar Nahi Aate Ho Aap To Kya Hua,
In Aankho Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi.

Juda Hai To Kya Hua

Dil Gaya Tha To Ye Aankhen

Dil Gaya Tha To Ye Aankhen Bhi Koi Le Jaataa
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Dekhoon

Dil Gaya Tha To Ye Aankhen

Meri Aarzu Hai Tu

Meri aarzu hai tu,
meri justju hai bus tu,
in tasveero se puch lena,
meri bandgi hai sirf tu..

Meri Aarzu Hai Tu

Unki Tasveer Me Unke

Unki Tasveer Me Unke Bikhre Baal Dekhe,
Bekarar Aankhe, Bebas Haath Dekhe,
Bekarar Ho Gaye, To Unke Ghar Chale Gaye,
Magar Afsos, Unke Ghar Ke Darvaje Hamne Apne Liye Band Dekhe..

Unki Tasveer Me Unke

Chand Tasveer-E-Butaan Chand

Chand Tasveer-E-Butaan Chand Hasinon Ke Khutoot
Baad Marne Ke Mere Ghar Se Ye Saamaan Niklaa

Chand Tasveer-E-Butaan Chand Hasinon Ke Khutoot

Haadise Aur Bhi Guzre Teri

Haadise Aur Bhi Guzre Teri Ulfat Ke Sivaa
Haan Mujhe Dekh Mujhe Ab Meri Tasveer Na Dekh

Haadise Aur Bhi Guzre Teri

Mohabbat Ke Baad Mohabbat

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz,
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai,
Baki to gume zindgi insaan, Tasveero ka mohtaj hota hai..

Mohabbat Ke Baad Mohabbat