Shayari About Being Lonely - Page 7 - Hindi Shayari

Do Baatein Unse Ki

Do Baatein Unse Ki,
Dil Ka Dard Kho Gaya,
Logo Ne Pucha Aaj Tumhe Kya Ho Gaya Hai,
Hum Bekraar Aankho Se Sirf Ro Pade,
Ye Bhi Na Keh Sake Ki,
Humara Pyar Kisi Aur Ka Ho Gaya Hai

Ab Bhi Taaza Hai

Ab Bhi Taaza Hai Zakhm Seene Mein,
Bin Tere Kya Rakha Hai Jeene Mein,
Hum To Zinda Hain Tera Sath Paane Ko,
Warna Dair Kitni Lagti Hai Zaher Peene Mein

Tum Pass Nahin Ho To

Tum paas nahin ho to ajjab haal hai dil kaa,
Yoon jese main kuch rakh ke kahin bhool gayi hoon

Phool Ne Kaha Khushboo Se

Phool ne kaha khushboo se mere saath aana chhod do,
Mujh par chhakar dusron par rang jamana chhod do,
Khushboo ne kaha prem hai sacha jo kahoge vahi kar jayenge,
Agar tum mujhse apni pehchaan banana chhod do

Mulakat Bhi Kabhi

Mulakat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai,
Nazren Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hai,
Gujre Hue Lamho Ko Yaad Krke Dekhiye,
Tanhai Bhi Kbhi Kabhi Sukoon De Jati Hai

Taash K Paton

Taash k paton ki manind hai zindage meri Faraz,
Jis kisi ne bhi khela taqseem kar diya mujhey

Ye Kam Nahi Hai

Ye kam nahi hai bhudhape mein humne tob ki,
Tamam umar mein humne ye ek kaam kiya

Aab Ye Na Puchna Ki

अब ये न पूछना की..
ये अल्फ़ाज़ कहाँ सेलाता हूँ,
कुछ चुराता हूँ दर्द दूसरों के,
कुछ अपनी सुनाता हूँ

Meri Tanhaaiyon Se

Meri tanhaaiyon se aa ke Abid koi to puchey,
Kabhi jab chand pura ho, samandar cheekhta kyun hai

Ab Kafas Me Hosh Aaya

Ab kafas me hosh aaya to ye hairat hai hume,
Kis tarah aankho se lute aashiya dekha kiye

Karoge Yaad Ek Din

Karoge yaad ek din dosti ke zamane ko,
Hum chale jayenge ek din wapis na ane ko,
zikr jab chhed dega koi mehfil mein humara,
chale jaoge tanhai mein aansoo bahane ko

Mohobaat Ki Misaal Me

मौहब्बत की मिसाल में,
बस इतना ही कहूँगा ।
बेमिसाल सज़ा है,
किसी बेगुनाह के लिए

Maine Kal Neend Se Pocha

Maine Kal Neend Se Pocha Too Kyon Nahin Aati Mujh Gareeb K Pass,
Neend Ne Kaha Kuch Soch K Zara Main Tere Pass Rahoon Ya Tere Naseeb KE Pass

Usi Ko Bhool Ke Bhi

Usi ko bhool ke bhi jisne ki na baat kabhi,
baigar yaad kiye kat saki na raat kabhi

Zakhm Aisa Diya Ki

Zakhm Aisa Diya Ki Koi Dawa Kaam Na Aayi
Aag Aisi lagai Ki Paani Se Bhi Bhuj Naa Paayi
Aaj Bhi Rote Hai Hum Unki Yaad Mein
Jinhe Hamari Yaad Aaj Tak Naa Aayi

Jeene Ki Khwaish Main

जीने की ख्वाहिश में हर रोज़ मरते हैं
वो आये न आये हम इंतज़ार करते हैं
झूठा ही सही मेरे यार का वादा है,
हम सच मान कर ऐतबार करते हैं

Na Janey Us Ke Dil Main

Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon,
Jo akela betha ho usey tanhaa nahi kehte