Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Gawai meri aankhe hai, kasam apni tumhari h,
siskate sab gujarti thi, tumhari yaad aati thi
Khoobsurat Tumhari Aankhen,
Aankhon Mein Haya Bhi Hai
Inpe Duniya Main Vaar Deta,
Par Ye Cheez Khuda Ki Hai
teri aankhon mein kho jane aya hu
teri zulfon mein so jane aya hu
kayi dino se dil mein the armaan
aaj tera ho jane aya hu
manjil to tu he hi meri
tujhe apni raah banane aya hu
mein maan chuka hu tujhe apna jaha
is jaha mein apna thikana talashne aya hu
Ruswai Bewafai Gum aur Judai,
Aankhe bhi meri ab num ho aayi,
yeh kisne yeh kisne he baddua meri Mohabbat ko lagai,
Ke Mohabbat jo ki mene,
us Bewafa ke liye wafa ki har najayaz kimat chukai
Saadgi Wali Surat Hai Tumhari
Dil Me Samayi Murat Hai Tumhari
Doob K Aksar Kho Jata Hu Jisme
Vo Aankhe Bhi Bahut Khoobsurat Hain Tumhari
Honto Pe Ulfat Ka Naam Hota Hai, Aankhon Main Chhalakta Jaam Hota Hai, Talwarron Ki Zarurat Wahan Kaisay, Jahaan Nazro Se Qatl-E-Aam Hota Hai
Aankhen hain unki ya hain sharaab ka mehkhana, dekh kar jinko ho gaya hoon main deewana
Shayad Use Aziz Thi Aankhen Meri Bohat, Wo Mere Naam Apni Basaarat Bhi Kar Gaya, Dil Ka Nagar Ujaarne Wala Huner Shanaas, Taameer Hosalon Ki Amaarat Bhi Kar Gaya
Uske liye saari duniya se bagawat ki thi
Yaad aata hai maine bhi mohabbat ki thi
Usko chhod ke haste huye ghar aakar,
Itna roye the ki aankho ne b shikayat ki thi
Alfaaz kuch bhi kahe par isse haqiqat nahi milti, Insaan k such jhut ki pehchan to uski aankho se hai
ज़रूरी तो नही की मोहब्बत को लफ़्ज़ों में बया करू, इधर देखो क्या मेरी आँखें तुम से कुछ नही कहती
Wo Jiske Saamne Humne Ye Sar Jhukaya Hai,
Khuda Nahi Hai, Par Usko Khuda Banaya Hai…
Wafa Hai Unki aabkhon mein, Magar Be’wafa Sa Lagta Hai,
Ajab Tarah Ka Hi Usne Mizaaj Paya Hai
Raat Gujri To Mehakti Subah Aayi,
Chand Dhal Gaya Suraj Ki Roshani
Aayi,
Neend Uddhi Subah Ki Taazgi Aayi,
Aur Aankhe’n Jo Khuli To Aap Ki Yaad
Aayi
Har nazar ko ek nazar ki talash hai,
Har chehre mein kuchh to ehsah hai,
Aapse dosti hum yun hi nahi kar
baithe,
Kya karen hamari pasand hi kuchh
KHAAS hai
Khwab Bankar Teri Aankho Me
Samana Hai,
Dava Bankar Tere Har Dard Ko
Mitana Hai,
Hasil Hai Mujhe Jamane Bhar Ki
Khushiyan,
Meri har khushi ko bas tujh par
lootana hain
Teri Nigahon Ke Yoon Hi Kayal The
Hum,
Kya Jaroorat Thi Aajmane Ki,
Yoon Hi Behosh Pade Hai Teri Rahon
Main,
Kya Jaroorat Thi Alag Se Muskurane
Ki
Meri Aankhe Jhuthi Thi Ya Jismo Par Aaine The,
Har Chehre Mein Maine, Apna Hi Chehra Dekha
तेरी आँखों के
जादू से तू ख़ुद नहीं
है वाकिफ़;
ये उसे भी
जीना सीखा देता
जिसे मरने का शौक़ हो।
Teri aankhon se kaash koi ishara to hota
Kuchh hi sahi ik jeene ka sahara to hota
Tod dete duniya ki hadon ko ham
Ik baar toone mohabbat se pukara to hota
Meri aur uski aankhen
kitni milti julti hain
ek jaisi rangat wali hain
farq hai to bas itna sa
meri aankhon mai rang hai uska
uski aankhen khali hain