Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Har Zarra Chamakta Hai Anwaar-E-Ilahi Se,
Har Saans Yeh Kahti Hai, Hum Hain To Khuda Bhi Hai
Khuda Jaane Kahan Hai Asghar-E-Diwaana Barson Se,
Ki Us Ko Dhoondhte Hain Kaaba-O-But-Khana Barson Se
Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jaane
Kyon Hai Aisaa Udaas Kyaa Jaane
Kah Diyaa Main Ne Haal-E-Dil Apna
Is Ko Tum Jaano Yaa Khuda Jaane
Khuda Hum Ko Aisi Khudai Na De
Ki Apne Siwa Kuchh Dikhaai Na De
Khuda Aise Irfaan Kaa Naam Hai
Rahe Saamane Aur Dikhaai Na De
Aajnabee Se Dost Jab Banati Hai Dosti,
Dil Ke Karib Dil Ko Lati Hai Dosti
Sare Farq Bus Yun Hi Mitati Hai Dosti,
Khushi Aur Gum Mein Gana Sikhati Hai Dosti
Dost Ke Liye Jina Sikhati Hai Dosti,
Dhadkan Ka Sur Ban Jati Hai Dosti
Ajnabi Ki Tarah Mile Or Ulfat Ho Gayi,
Ajnabi Dost Aesa Mile Ki Dosti Ho Gayi,
Sachi Dosti Ka Irada Tha Unse,
Lekin Muje Unse Sachi Mahobbat Ho Gayi
Koi Ajnabi Jab Apna Ban Jaye,
Raah Me Roshni Ki Shama Jalaye,
Har Pal Yaad Karke Jab Koi Muskuraye,
Wahi To Hai Apna Jiski Har Khushi Humari Zindgi Ban Jaye
Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti
Dhoond lo koi tumhe mil hi jayega,
Magar hamari tarah pyar tumhe kaun kar payega,
Mumkin hai chahat ki nazar se koi dekh le tumhe,
Aankhen hamari kahan se payega
Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,
Ja sake jahan tak hamari yeh nazar, aap ko har jagah paa liya karte hain
Nashili aankho se wo jab hamein dekhte hain,
Hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
Kaun milaye unn ankhon se ankhen,
Suna hai wo ankho se apna bana lete hai
हज़ार रुन्ज़ सर आँखों पर बात ही क्या है
तेरी खुशी के ताल्लुक मेरी खुशी ही क्या है…
रब्बा बचाए तेरी मस्त-मस्त निगाहों से
फरिश्ता ही बहक जाए आदमी की तो ओकात ही क्या है
Meri aankhe juthi thi ya jismmo par aaine the,
har chehre mein goya maine, apna hi chehra dekha
Aafat ki sufedi hai, qayamat ki siyahi,
narang-e-do aalam mujhe dikhla gayi aankhe
Aankhe na jeene degi teri bewafa mujhe,
bhar najar tumko n dekh kabhi darte darte
Mast aankhe udhar teri, labrej idhar sagar,
lad jaye n aye saki, paimana se paimana
Dil unko dhundta hai gam ka singhar karke,
aankhe bhi thak gayi h ab ijhar karke.