Khwab Ki Vaadiyo Se


khwab ki vaadiyo se nikalta hua,
chand sokar utha aankh malta hua,

haath par dhoop ki pattiyan rakh gaya,
koi phulon ki chadar badlata hua,

shish mahal ke sisho se takra gaya,
pathron se sabhlata utarta hua,

sham tak hoga suraj hamari tarah,
koi sukha hua ped jalta hua,

ek aahat si najdeek aati huyi,
lon mein sham ka phool khilta hua.

Khwab Ki Vaadiyo Se

Leave a comment