Dheere Se Sarakti Hai Rat Uske
Dheere Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah,
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga,
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”,
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah.
More Entries
- Tere Aane Ka Dhokha Sa Raha Hai
- Khwab Ki Vaadiyo Se
- Jab Bhi Wo Shakhs Wasi Mujhse
- Ajeeb Saaneha Mujh Par Guzar Gaya Yaaro
- Roshni Aur Baharain Tumhi Rakhlo Jana
- Kitabon Main Rakh K Sula Gaya Humko
- Ab To Mumkin Hi Nahi Unse Mulaqat Wasi
- Charcha Hua Tha Jo Darya Utar Gaya Kabka
- Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar
- Wo Aks-E-Mauja-E-Gul Tha