Jigar Moradabadi Shayari - Page 5 - Hindi Shayari

Kuch Is Adaa Se Aaj

Kuchh is adaa se aaj wah pehaloonashi rahe,
Jab taq humaare paas rahe, hum nahin rahe.

Kaanton Ka Bhi Haq Hai Aakhir

Kaanton ka bhi haq hai aakhir,
KAun chhudaaye daaman apna.

Kabhi Un Madbhari Aankhon Se

Kabhi un madbhari aankhon se diya tha sharab
Aaj tak hosh nahn, hosh nahin, hosh nahin

Unko Bhi Naaz-E-Fatah Ho

Unko bhi naaz-e-fatah ho to koi baat hai,
Mujhko to har sheekast ne magroor kar diya.

Unko Aata Hai Pyaar Par Gussa

Unko aata hai pyaar par gussa,
Humko gusse par pyaar aata hai.

Arbaabe-Sitam Ki Khidmat Mein Itni

Arbaabe-sitam ki khidmat mein itni hi gujaarish hain meri,
Duniya se qyaamat door sahi, duniya ki qyaamat door nahin.

Ishq Ki Barbaadiyon Ko Raayagaan

Ishq ki barbaadiyon ko raayagaan samjh tha main,
Bastiyan nikali, jinhe veeraaniyan samjha tha main.

Ibtida Wo Thi Ki Tha Jeena

Ibtida wo thi ki tha jeena muhabbat mein muhaal,
Intiha ye hai ki ab marna bhi mushqil ho gaya.

Unki Wah Aamad Aamad Hai

Unki wah aamad aamad hai, apna yahan ye aalam,
Ik rang jaa raha hai, ik rang aa raha hai.

Dard Badakar Fugan Na Ho Jaye

Dard badakar fugan na ho jaye,
ye zamin aasaman na ho jaye,
dil mein duba hua jo nashtar hai,
mere dil ki zuban na ho jaye,
dil ko le lijiye jo lena hai,
phir ye sauda giran na ho jaye,
aah kije magar latif-tarin,
lab tak aa kar dhuan na ho jaye.

Apna Zamana Aap Banate Hain

अपना जमाना आप बनाते हैं अहले-दिल,
हम वो नहीं है जिसको जमाना बना गया!

Ishq Ko Be-Naqab Hona Tha

Ishq ko be-naqab hona tha,
aap apana javab hona tha,
teri aankhon ka kuch qusur nahi,
han mujhi ko kharab hona tha,
dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang,
us ko sada kitab hona tha,
hum ne nakamiyon ko dhund liya,
aakhirash kamayab hona tha.

Sab Taraf Chh Gaye Paigaam-E-Mohabbat

Sab taraf chh gaye paigaam-e-mohabbat ban kar,
Mujh se acchhi rahi kismat mere afsaano ki.

Hameen Jab Na Honge To Kya

Hameen jab na honge to kya rang-e mahfil,
Kise dekh kar aap sharmaaiega.

Hamne Seene Se Lagaaya Dil

Ham ne seene se lagaaya dil na apna ban saka,
Muskura kar tumne dekha dil tumhaara ho gaya.

Ham Ishq Ke Maaron Ka Itna

Ham ishq ke maaron ka itna hi fasaana hai,
Rone ko nahin koi hasne ko zamaana hai.

Baraabar Se Bach Kar Guzar Jaane Waale

Baraabar se bach kar guzar jaane waale,
ye naale nahin be-asar jaane waale.

Nahin jaante kuchh ki jana kahan hai,
chale jaa rahe hain magar jaane waale.

Mere dil ki betaabiyaan bhi liye jaa,
dabe paaon munh pher kar jaane waale.

Tere ek ishaare pe saakit khade hain,
nahin keh ke sab se guzar jaane waale.

Muhabbat mein hum toh jiye hain jiyenge,
woh honge koi aur mar jaane waale. !!

Saaz-E-Ulfat Chhid Raha Hai

Saaz-e-ulfat chhid raha hai aansuon ke saaz par,
Muskuraaye hum to unko bad-gumani ho gai.

Sab Ko Maara Jigar Ke Sheron Ne

Sab ko maara Jigar ke sheron ne
Aur Jigar ko sharaab ne maara

Sab Ko Maara Jigar

Dard Badh Kar Fugaan Na Ho Jaaye

Dard badh kar fugaan na ho jaaye,
ye zameen aasman na ho jaaye.

Dil mein dooba hua jo nashtar hai,
mere dil ki zubaan na ho jaaye.

Dil ko le lijiye jo lena hai,
phir ye sauda giraan na ho jaaye.

Aah kije magar lateef-tareen,
lab tak aa kar dhuaan na ho jaaye. !!