Jigar Moradabadi Shayari - Page 4 - Hindi Shayari

Humko Mita Sake

Humko mita sake, yah zamaane mein dum nahin,
Humse zamaana khud hai, zamaane se hum nahin.

Ye Ishq Nahin Aasaan Itna

Ye ishq nahin aasaan itna to samajh leeje,
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.

Kuchh Khatkta To Hai

Kuchh khatkta to hai pahalu mein mere rah-rah kar,
Ab khuda jaane teri yaad hai ya dil mera.

Ghum Ho Gaya Hun

Ghum ho gaya hun, bazme-e-tamnna mein aake main,
Kis-kis pe jaan dijiye, kis-kis ko chaahiye.

Sab Jisko Aseeri Kehate Hain

Sab jisko aseeri kehate hain wah hai to aseeri hi leqin,
Wah kaun-si aazadi hai yahan, jo aap khud apna daam nahin.

Sab Jisko Aseeri Kehate Hain

Sakoon Hai Maut Yahan

Sakoon hai maut yahan zauk-e-justjoo ke liye,
Yah tishnagi wah nahin hai jo bujhaai jaati hai.

Wah Bhi Ik Muqaam-E-Ishq

Wah bhi hai ik muqaam-e ishq,
Jahan har tamnna gunaah hoti hai.

Yaarab Huzoom-E-Dard Ko De

Yaarab huzoom-e-dard ko de aur vusatein,
Daaman to kya abhi meri aankhein bhi nam nahin.

Yahi Husn-O-Ishq Ka Raaz Hai

Yahi husn-o-ishq ka raaz hai, oi raaz iske siwa nahin,
Jo khuda nahin to khudi nahin, jo khudi nahin to khuda nahin.

Yah Misra Kaash Naqah-E-Har

Yah misra kaash naqah-e-har dar-o-deewar ho jaaye,
Jise jeena ho marne ke liye taiyaar ho jaaye.

Yah Misra Kaash

Maut Jab Tak Nazar Nahin Aati

Maut jab tak nazar nahin aati,
Zindagi raah par nahin aati.

Tere Firaq Ke Gham Ne Bacha Liya

Tere firaq ke gham ne bacha liya sabse,
Mere kareeb ab koi bala nahin aati.

Tere Firaq Ke Gham

Pehale Sharaab Zist Thi

Pehale sharaab zist thi, ab zist hai sharaab,
Koi pila raha hai, piye jaa raha hun main.

Phool Khilte Hain Gulshan Gulshan

Phool khilte hain gulshan-gulshan,
Leqin apna-apna daaman.

Phool Wahi, Chaman Wahi,

Phool wahi, chaman wahi, fark nazar-nazar ka hai,
Ahade-bahar mein kya tha, daure-khijaan mein kya nahin.

Meri Masti Shauke-Paiham Meri

Meri hasti shauke-paiham meri fitrat izitraab,
Koi manzil ho magar gujara chala jaata hun main.

Dil Gaya, Raunke Hayaat Gayi

Dil gaya, raunke-hayaat gayi,
Gham gaya, saari qaaynaat gayi.

Tum Mujhse Chhutkar Bhi Rahe

Tum mujhse chhutkar bhi rahe sabki nigaah mein,
Main tumse chhutkar kisi qaabil nahin raha.

the alps from west to east

Zindagi Par Daal Di Jisne

Zindagi par daal di jisne haqiqtabi nigaah,
Zindagi uski nazar mein behaqiqat ho gai.

Zindagi Likai Musalsal

Zindagi likai musalsal imtihan-dar-imtihan,
Zindagi ko daastan hi daasta samjha tha main.