Ik Aalam-E-Hijraan Hi Ab Humko
Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya,
Yeh khaana-e-viraaan hi ab hum ko pasand aaya,
Benaaam-o-nishaan rehna ghurbat ke ilaaqe main,
Yeh sheher bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya,
Tha laal hua manzar suuraj ke nikalne se,
Woh waqt tha woh chehra jab hum ko pasand aaya,
Hai qataa-e-talluq se dil khush to bohat apna,
Ik hadh hi banaa lena kab hum ko pasand aaya,
Aana woh Munir uss ka be-khauf-o-khatar hum tak,
Yeh turfaa tamaasha bhi shab hum ko pasand aaya..

More Entries
- Apna To Yeh Kaam Hai Bhai Dil Ka
- Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se
- Meri Kabar Pe Mat Gulaab Leke Aana
- Meri Khamoshi Se Kuch Shabd
- Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galle
- Shehar Mein Humdum Puraane
- Jeene K Liye Dard Ka Samaan Bohat Hai
- Raaz-E-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
- Jo Aaya Mere Hothon Par
- Uski Chahat Ka Bharam Kya Rakhna