Aaj Ke Daur Mein Ai Dost Ye Manzar


aaj ke daur mein ai dost ye maNzar kyuuN hai,
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuuN hai,

jab haqiiqat hai ke har zarre mein tuu rahataa hai,
phir zamiiN par kahiin masjid kahiin mandir kyuuN hai,

apanaa anjaam to maaluum hai sab ko phir bhii,
apanii nazaron mein har insaan sikandar kyuuN hai,

zindagii jiine ke qaabil hii nahiin ab “Faakir”,
varnaa har aaNkh mein ashkon kaa samandar kyuuN hai.

aaj-ke-daur-mein-ai-dost-ye-manzar

Leave a comment