Waseem Barelvi Shayari - Hindi Shayari

Lahoo Na Ho To Kalam Tarjuman

Lahoo na ho to kalam tarjuman nahin hota
Hamare daur me aansoo zuban nahin hota

Jahan rahega waheen roshni lotaye gaa
Kisi charagh ka apna makan nahin hota

lahoo-na-ho-to-kalam-tarjuman

Khushi Ka Wada Sabhi Se Kiya Gaya

Khusi ka wada sabhi se kiya gaya hai to fir,
Mere LaboN ko bhi thodi bahot hansi to mile.

khushi-ka-wada-sabhi-se-kiya-gaya

Hamara Azm-E-Safar Kab Kidhar Ka Ho Jaaye

Hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jaaye,
Ye wo nahin jo kisi rehguzar ka ho jaaye,

Usee ko jeene ka haq hai jo is zamane mein,
idhar ka lagta rahe, aur udhar ka ho jaaye.

hamara-azm-e-safar-kab-kidhar-ka-ho-jaaye

Mai Katra Hoke Bhi Toofaan Se

Mai katra hoke bhi toofaaN se jang leta hooN,
Mujhe bachana samandar ki zimmedari hai,

mai-katra-hoke-bhi-toofaan-se

Muhabbat Mein Buri Niyaat Se Kuch

Muhabbat mein buri niyyat se kuch socha nahin jaata
Kaha jaata hai us ko be-wafaa, samjha nahin jaata

Jhukata hai ye sar jis ki ibadat ke liye us tak
Tera jazba to jaata hai tera sajda nahin jaata

Tumhare saath mein koi nayapan hai to bas ye hai
Bohot takleef deta hai, magar chhoraa nahin jaata.

muhabbat-mein-buri-niyaat-se-kuch

Asoolon Par Jahaan Aanch Aaye

Asoolon par jahaaN aanch aaye takraana zaroori hai,
Jo zinda ho to fir zinda nazar aana zaroori hai,

asoolon-par-jahaan-aanch-aaye

Mujhe Bujhaa De, Mera Dard

Mujhe bujhaa de, meraa dard mukhtasar kar de
Magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de

Meri talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
Main teraa raastaa chhoruuN to dar-ba-dar kar de

Judaaiyon ki ye raaten to kaatni hongi
Kahaaniyon ko koi kaise mukhtasar kar de

Tere khayaal ke haathon kuch aisaa bikhraa hun
Ke jaise bachchaa kitaaben idhar-udhar kar de.

mujhe-bujhaa-de-mera-dard

Muhabbat Mein Buri Niyat Se Kuchh

Muhabbat meiN buri niyat se kuchh socha naheeN jaata,
Kaha jaata hai usko bewafa samjha naheeN jaata.

muhabbat-mein-buri-niyat-se-kuchh

Apne Har Ek Lafz Ka Khud Aaina

Apne har ek lafz ka khud aainaa ho jaaunga
Us ko chhota keh ke mein kaise bada ho jaaunga

Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
Mein gira to mas’ala bankar khada ho jaaunga

Mujh ko chalne do, akela hai abhi mera safar
Raasta roka gayaa to qafila ho jaaunga

Sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ek tere kehne se kya main be-wafa ho jaaunga?

apne-har-ek-lafz-ka-khud-aaina

Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna

Tujhe paane ki koshish meiN kuch itna kho chuka hooN maiN
Ki tu mil bhi agar jaye to ab milne ka gham hoga,

tujhe-paane-ki-koshish-mein-kuch-itna

Aate Aate Mera Naam Saa Reh Gaya

Aate aate mera naam saa reh gaya
Us ke honton pe kuchh kanpta reh gaya

Wo mere samne hi gaya aur mein
Raste ki tarah dekhta reh gaya

Jhooth waale, kahin se kahin badh gaye
Aur mein tha ke sach bolta rehgaya

Aandhiyon ke irade to achchhe n the
Ye diya kaise jalta huwa reh gaya?

aate-aate-mera-naam-saa-reh-gaya

Main Apne Khwab Se Bichada Nazar

main apne khwab se bichada nazar nahi aata
tu is sadi mein akela nazar nahi aata

ajab dabav hai in bahri hawaon ka
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahi aata

main ek sada pe hamesha ko ghar chod aaya tha
magar pukarane vala nazar nahi aata

main teri reh se hatane ko hat gaya lekin
mujh to koi bhi rasta nazar nahi aata

dhuan bhara hai yahan sabhi ke aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata

main-apne-khwab-se-bichada-nazar

Zara Sa Qatara Kaheen Aj Agar

Zara sa qatara kaheen aj agar ubharata hai
samandaron hi ke lahaje mein baat karta hai

khuli chaton ke diye kab ke bujh gaye hote
koi to hai jo hawaon ke par katarata hai

sharafaton ke yahan koi ahamiyat hi nahi
kisi ka kuch na bigado to kon darta hai

zamin ke kaisi viqalat ho phir nahi chalati
jab aasman se koi faisala utarata hai

tum aa gaye ho to phir kuch chandani si baten hon
zamin pe chand kahan roz roz utarata hai.

zara-sa-qatara-kaheen-aj-agar

Wo Mera Ghar Nahin Aata

Wo mere ghar nahin aata, Mein us ke ghar nahin jaata
Magar in ehtiyatoN se, T’alluq mar nahin jaata

Bure achchhe ho jaise bhi ho, Sab rishte yahan ke hain
Kisi ko saath duniya se, Koi lekar nahin jaata

Gharon ki tarbiyat kya aagai TV ke haaton mein
Koi bachcha ab apne baap ke upar nahin jaata

Khule the sheher mein so dar, Magar ek had ke andar hi
Kahan jaata agar mein, Laut ke phir ghar nahin jaata

Muhabbat ke ye aansoo hain, Inhen aankhon me rehne do
Shareefon ke gharon ka, Mas’ala bahar nahin jaata.

wo-mera-ghar-nahin-aata

Mein Is Ummid Pe Dooba Ke Tu Bacha Lega

Mein is ummid pe dooba ke tu bacha lega
Ab is ke baad mera imtehaan kya lega

Ye ek mela hai, wada kisi se kya lega
Dhalega din to har ek apna rasta lega

Mein bujh gaya to hamensha ko bujh hi jaunga
Koi charagh nahin hun jo phir jalaa lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal ho wo badla kisi se kya lega

Hzaar tod ke aa-jaaun usse rishta “Waseem”
Mein jaanta hun, wo jab chahega bula lega.

mein-is-ummid-pe-dooba-ke-tu-bacha-lega