Faiz Ahmed Faiz Shayari - Hindi Shayari

Dil Mein Ab Yun Tere Bhooley

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain

Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain

Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain

Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain

Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain

Duniya Ne Teri Yaad Se

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke…

Bara Hai Dard Ka Rishta

Bara hai dard ka rishta, Yeh dil ghareeb sahi,
Tumhare naam pe aayen ge ghamgusaar chale..

Bol Ki Lab Aazaad Hain Tere

Bol Ki Lab Aazaad Hain Tere
Bol Zabaan Ab Tak Terii Hai

Phir Nazar Mein Phool Mehke

Phir nazar mein phool mehke, Dil mein phir shamain jali’n,
Phir tassawur ne liya uss bazmm mein jaane ka naam.

Kab Yaad Mein Tera Saath Nahin

Kab Yaad Mein Teraa Saath Nahin Kab Haath Me.N Teraa Haath Nahin
Sad Shukr Ke Apanii Raaton Mein Ab Hijr Kii Koii Raat Nahin .

Pindaar Ke Khogar Ko Nagaam Bhi Dekhoge

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekhoge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekhoge?

Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana

Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena

Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena

Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena.

Dono Jahaan Teri Mohabbat

Donon Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke
Woh Jaa Raha Hai Koi Shab-E-Gham Guzaar Ke..

Raaz-E-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia

Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia

Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia

“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia.

Ham Parwarish-E-Loh-O-Qalam Karte

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Karte Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Karte Rahain Ge.

Marne Ke Baad Bhi Mere Aankhein

Marne ke baad bhi meri aankhein khuli rahin,
Aadat jo parr gayi thi tere intizaar ki.

Kab Yaad Main Tera Sath Nahi

Kab Yaad Main Tera Sath Nahi Kab Hath Main Tera Hath Nahi
Sad Shukr K Apni Raaton Main Aab Hijar Ki Koi Raat Nahi.

Sach Hai Hameen Ko Aap Ke

Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na The,
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana The.

Yeh Ajab Qayamatein Hai Teri

Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari,
Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain hum..

Hum Dekhain Ge

Hum Dekhain Ge, Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhain Ge.

Kahan Tak Sunegi Raat Kahan

Kahan tak sunegi raat kahan tak sunayenge hum,
Shikwey saarey sabb aaj tere rubaruu karain..

Uth Kar Tu Aa Gaye Hain

Uth Kar Tu Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar,
Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aaye Hain.

Mitt Jayegi Makhlooq To Insaaf Karoge

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karoge,
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete.

Aaye Kuchh Ab Kuchh Sharaab Aaye

Aaye Kuchh Ab Kuchh Sharaab Aaye,
Us Ke Baad Aaye Jo Azaab Aaye.

Dono Jahan Teri Mohabbat

Dono jahan teri mohabbat mein haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke.