Faiz Ahmed Faiz Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Bahut Mila Na Mila Zindagi Se Gham

Bahut Mila Na Mila Zindagi Se Gham Kya Hai,
Mata-E-Dard Baham Hai To Besh-O-Kam Kiya Hai.

Dil Na Umeed To Naheen

Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki sham, magar shaam hi to hai..

Chand Nikale Kisi Jaanib

Chand Nikale Kisi Jaanib Teri Zebaai Ka,
Rang Badale Kisi Suurat Shab-E-Tanhaai Ka.

Ab Jo Koi Pooche Bhi To Usse Kya

Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen,
dil thehre to dard sunaayen dard thamme to baat karen,

shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifaan roshan ki,
ghar ko aag lagaayen ham bhi roshan apni raat kahen,

qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahuu apni gardan par,
mohr-ba-lab bethe hain kis ka shikva kis ke saath karen,

hijr main shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe,
subh ki viraani me yaaro kaise basar aukaat karen..

Chashm-E-Mayagun Zaraa Idhar Karde

Chashm-E-Mayagun Zaraa Idhar Karde,
Dast-E-Kudarat Ko Be-Asar Karde.

Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Huye

Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Huye Gham Aate Hain,
Jaise Bichhade Huye Kabe Men Sanam Aate Hain.

Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain

Woh aa rahe hain woh aate hain aa rahe hon ge,
Shab-e-firaaq ye keh kar guzaar dii hamne.

Ishq Minat Kaash-E-Qarar Nahi

Ishq Minat Kaash E Qarar Nahi,
Husan Majboor E Intizaar Nahi.

Qurb K Na Wafa K Hote Hain

Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain.

Shaam-E-Firaaq Ab Na Puch Aayi

Shaam-e-firaaq ab na puch aayi aur aa ke ttal gayi,
Dil tha ke phir behhal geya jaan thi ke phir sambhal gayi,

Bazm-e-khayal main tere husn ki shamma jall gayi,
Dard ka chaand bujh geya hijr ki raaat dhhal gayi,

Jab tujhe yaad kar liya subh mehak mehak uthi,
Jab tera gham jagaa liya raat machal machal gayi,

Dil se to har maamla kar ke chale they saaf hum,
Kehne main un ke saamne baat badal badal gayi,

Akhir-e-shab ke hum safar ‘faiz’ na jaane kya huye,
Reh gayi kis jagah sabaa subh kidar nikal gayi.