Ye Sara Jism Jhuk Kar Bojh Se


Ye sara jism jhuk kar bojh se duhara hua hoga,
main sajde mein nahi tha aap ko dhoka hua hoga,
yahan tak aate aate sukh jati hain sabhi nadiyan,
mujhe malum hai pani kahan thahara hua hoga,
gazab ye hai ki apni maut ke aahat nahi sunate,
wo sab ke sab pareshan hain vahan par kya hua hoga.

Leave a comment