Yaad Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Rishte Banaye Hai To Nibhaye Jao

Rishte Banaye Hai to Nibhaye Jao,
Har pal Apno ko Hasaye Jao,
Pata nahi kisi ko fursat Hai ya nahi Hame yaad krne ki,
Khud Hi tang kar-kar ke Apni yaad dilaye Jao.

rishte-banaye-hai-to-nibhaye-jao

Karoge Yaad Ek Din Tum Dosti

Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,
Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko
Chodega mehfil me zikar hamara koi,
Toh chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko

karoge-yaad-ek-din-tum-dosti-ke-zamane-ko

Yaadon Ko Teri Hum Pyar

Yaadon ko teri hum pyar karte hai,
Saat janam bhi tum par nisaar karte hai.
Fursat mile to kuch likh bhejna yaar,
Ek tere hi sms ka intezar karte hai!

yaadon-ko-teri-hum-pyar-karte-hai

Kabhi Gum Ho To Mulakat Kar Lena

Kabhi gum ho to mulakat kar lena,
Udash ho to baat kar lena,
Agar shikayat ho to hame maaf kar dena,
Aur fursat se bethe ho to hame yaad kar lena.

kabhi-gum-ho-to-mulakat-kar-lena

Umar Ki Raah Mein Raste

Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,

Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai.

umar-ki-raah-mein-raste-badal-jate-hai

Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain

Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein,
Tumhe Dekhne Ko Tarsati Hain Nigahein,
Bekhudi Ka Yeh Aalam Hai Kaisa,
Tumhe Yaad Karke Nikalti Hain Aahein.

tanhai-mein-hum-teri-taakte-hain-raahein

Doob Jati Hain Kashtiya Jab Aate

Doob jaati hain Kashtiya jab aate hain tufan,
Yaade reh jati hai bichad jate hain insaan,
Yaad Rakhoge to bahut karib paoge,
Bhul jaoge to bahut PACHTAOGE.

doob-jaati-hain-kashtiya-jab-aate-hain-tufan

Har Subhah Ki Dhoop Kuch Yaad

Har subhah ki dhoop kuch yaad dilati hai,
Har phool ki khushboo ek jadu jagati hai,
Mano na mano per such hai mere yaar,
Subhah hote hi aapki yaad aa jati hai.

har-subhah-ki-dhoop-kuch-yaad-dilati-hai

Aapke Paas Waqt Nahi

Aapke paas waqt nahi hame yaad karne ka,
Bewaqt hi yaad kar liya karo,
Mana aap ke paas sari duniya hai,
Kabhi hamara bhi ahsas kar liya karo.

aapke-pass-waqt-hai-hame-yaad-karne-ka

Bhare Hain Kanto Se Raste Saare

Bhare hain kanto se raste saare,
Phir bhi hum chale jaa rahe hain.

Bhool gaya hain koyi hume,
Hum fir bhi yaad kiye jaa rahe hain.

Aayenge ek baar wo ye umeed hai,
Esi umeed pe hum jiye ja rahe hain.

bhare-hain-kanto-se-raste-saare

Teri Yaad Dilko Bekarar Karti Hai

Teri Yaad Dilko Bekarar Karti Hai
Nazar Tujhe Talash Har Bar Karti Hai
Gila Nahi Jo Hum Hai Dur Tumse Teri To
Judaai bhi Humse Pyar Karti Hai

teri-yaad-dil-ko-bekarar-karti-hai

Ae Hawa Tu Udhar To Jati Hogi

Ae hawa tu udhar to jati hogi,
Unko hmara hal to batati hogi,
Zara chhu kar to dekh unke dil ko,
Kya yaad unko bhi hamari aati hogi.

ae-hawa-tu-udhar-to-jati-hogi

Tumhari Yaat Aati Hai

Tumhari yaad aati hai to aankhe bhig jaati hain,
Tumhari yaad aati hai to raat beet jaati hain,
Bhulana to bahut chaha magar yaadein to yaadein hain,
Kabhi hum haar jaate hai kabhi ye jeet jaati hai.

tumhari-yaad-aati-hai-to-aankhe-bhig-jaati-hain

Aapki Yadon K Siwa Koi

Aapki Yadon K Siwa Koi Sahara Nahi,
Aapko Soche Bin Din Guzarta Nahi,
Har Sans Me Hmari Aap Smane Lage HoOr,
Apne Hume Ab Tak Khwabo Me Utara Nahi.

aapki-yadom-k-siwa-koi-sahara-nahi

Aksar Gumsum Rehnewala Nagma Hu Main

Aksar gumsum rehnewala nagma hu main,
Aapki yaado me rehnewala lamha hu main,
Aap meri jaan ho to ek baat batao,
Aapke hote huye bhi kyu tanha hu main.

aksar-gumsum-rehnewala-nagma-hu-main

Eh Sanam Tujhe Kabhi Meri Yaad Aaye

Eh Sanam Tujhe Kabhi Meri Yaad Aaye,
Aur Milne Ko Dil Bekarar Ho Jaaye,

Toh Ek Baar Mera Naam Dil Se Pukarna,
Teri Khusi Ke Liye Hum Jannat Se Laut Aaye.

eh-sanam-tujhe-kabhi-meri-yaad-aaye

Dur Hokar Karib Rehna Nazakat Hai Meri

Dur Hokar Karib rehna Nazakat Hai Meri,
Yaad Bankar Aankho Se Behna Shrarat Hai Meri,
Karib Na Hote Hue Bhi Karib Paoge,
Kyon ki Ehasas Bankar Dil Me Rehna Aadat Hai Meri.

dur-hokar-karib-rehna-nazakat-hai-meri

Lafzon Ki Tarah Mujhe Kitaabon Mein Milna

Lafzon ki tarah mujhe kitaabon mein milna,
Tu banke mahek mujhe gulaabon mein milna,
Jab bhi mujhe teri yaad aaye,
To banke aansu meri aankhon mein milna.

lajzon-ki-tahah-mujhe

Parchhayi Aapki Humare Dil Me Hai

Parchhayi Aapki Humare DiL Me Hai,
Yaaden Aapki Humari Aankon Me hai,
Kaise Bhulayen Hum Aapko Ae-Dost,
Pyar Aapka Humari Saanso me hai.

parchhayi-aapki-humae-dil

Aapko Dekhkar Aaj Kahin

Aapko Dekhkar Aaj Kahin,
Hamara Dil Bekarar Na Ho Jaaye,
Lag Raha Hai Aaj Dar Humko,
Kahin Aapse Pyar Na Ho Jaaye,
Khush Rahein Bas Aap Hamesha,
Dil Se Hum Fariyaad Karte Hain,
Aap Humko Bhale Bhol Chuke Ho,
Magar Hum Aapko Yaad Karte Hain.

aapko-dekhkar-aaj-kahin