Ajab Tarah Se Socha Hai Zindagi K Liye,
Zakham Zakham Likhte Hain Har Kushi K Liye,
Wo Shaks Muje Bhool Gaya To Yaqeen Aya,
Koi Bhi Shaks Zaroori Nahi Kisi K Liye.
Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya,
Gairon Ne Bewafa Ka Naam De Diya,
Jo Kehte They Hamein Bhool Na Jana,
Unho Ne Hi Bholne Ka Paigam De Diya.
Yeh Bahein Humein Jab,
Apni Panahon Mein Bulathi Hein,
Humein Apni Kasam Hum,
Har Sahara Bhool Jate Hain.
Reet Hai Jane Kaisi Yeh Jamane Ki,
Jo Saza Milti Hai Dil Laganne Ki,
Na Basana Dil Main Kisi Ko Itna,
Ki Phir Dua Mangni Pada Bhulane Ki.
Tum Banke Dost Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
Tumhen Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi,
Par Hum To Tumhe Bhulana Hi Bhool Gaye.
Bhoolna Tumhe Na Asaan Hoga,
Jo Bhule Tumhe Vo Nadan Hoga,
Aap To Baste Ho Rooh Mein Hamari,
Aap Hume Na Bhule Ye Apka Ehsan Hoga.
Ishq Me Tere Har Had Se Guzar Jana Chahta Hoon,
Log Jeete Hai Ashaqi Main Main Teri Chaht Main Mar Jana Chahta Hoon,
Aye Mere Yaar Na Samjha Hai Na Samjhe Ga Tu Sagar Ka Naseeb,
Log Pane Ke Liye Jeete Hain Main Tujhe Kho Ke Jeena Chahta Hoon,
Yaad Karegi Tu Mujhe Jitna Utna Hi Mujhe Yaad Ayegi,
Yaad Aaoon Na Tujhe Main Main Tujh Ko Bhool Jana Chahta Hoon.
Tumko Bhula Payenge Itna Hum Me Dum Nahi,
Tumne Diya Jo Gam Wo Maut Se Kam Nahi,
Yaaro Dil Ke Jakhm Dikhaon Phasana Yaar Kaa Hain,
Mohabbat Jhoothi Hain Bahana Pyaar Kaa Hain.
Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.
Hum Ko Bhool Na Jana Tum,
Yeh Kehte Hain Sab Hi,
Lekin Aata Hai Waqt Kuchh Aisa,
Ke Bhool Jaate Hain Khud Hi.