Shayari About Life - Page 2 - Hindi Shayari

Zindagi Ka Safar

Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai,
Her Kisi Ko Kisi Na Kisi Ki Talash Hai,
Kisi Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi,
Aur Kisi Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi

Zindagi Ka Safar

Ruthi Jo Zindagi

Ruthi jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gam to seh lenge hum,
Bus aap rehna sath hamare,
Aasuo mai bhi muskura lenge hum

Ruthi Jo Zindagi

Mujhe Tairne De

“मुझे तैरने दे या फिर बहना सिखा दे,
अपनी रजा में अब तू रहना सिखा दे,
मुझे शिकवा ना हो कभी भी किसी से,
हे ईश्वर !!
मुझे सुःख और दुःख के पार जीना सिखा दे| “

Na Jane Zindagi Main

Na Jane Zindagi Main Kitne Gam Aate Hain,
Aankho Main Aansu Bhar Aate Hain,
Ye Aansu Sookh Bhi Nahi Pate,
Ki Doosre Gam Aankho Ko Gila Kar Jate Hain

Na Jane Zindagi Main

Seekh Raha Hu Dheere Dheere

Seekh raha hu dheere dheere,
Iss duniya k rivaaz,
Jisse matlab nikal jaye,
Usey zindagi se nikaal do

Seekh Raha Hu Dheere Dheere

Rashme Ulfat Ko Nibhaye

Rashme ulfat ko nibhaye to nibhaye kaise,
Har taraf aag hai daaman ko bachaye kaise,
Bojh hota jo gamo ka to utha bhi lete,
Zindagi bojh bani to fir uthaye kaise

Rashme Ulfat Ko Nibhaye

Kagaj Ke Noto Se Akhir

कागज़ के नोटों से आखिर
किस किस को खरीदोगे,
किस्मत परखने के लिए यहाँ आज भी
सिक्का ही उछाला जाता है

Bahut Kuchh Humne Khoya

Bahut Kuchh Humne Khoya,
Aur Bahut Kuchh Paaya,
Kasam Se Iss Zindagi Ne Humein Bahut Hasaaya,
Bahut Rulaaya,
Phir Bhi Shikwa Nahi Iss Zindagi Se Hume Koi,
Kyunki Isi Ne Kuchh Haseen Dosto Se Bhi Milaaya

Bahut Kuchh Humne Khoya

Samjh Na Aaya

समझ ना आया ऐ जिंदगी तेरा ये फलसफा,
एक तरफ कहती है सबर का फल मीठा होता है
और दूसरी तरफ कहती है
वक़्त किसी का इंतजार नही करता

Bahut Pehle Hi Unn

Bahut Pehle Hi Unn Kadmo Ki Aahat Jaan Lete Hai,
Tujhe Aey Zindagi, Hum Door Se Hi Pehchaan Lete Hai

Bahut Pehle Hi Unn

Zindagi Tujhse Har Kadam

Zindagi tujhse har kadam par samjhota kyun kiya jaye,
Shauk jeene ka hai magar itna bhi nahi ki, Mar-mar ke jiya jaye.
Jab jalebi ki tarah ulajh hi rahi hai tu Aey zindagi,
Toh fir kyun na tujhe chaashni mai dubokar maza hi le liya jaye

Zindagi Tujhse Har Kadam

Apni Toh Zindagi Hai

अपनी तो ज़िन्दगी है अजीब कहानी है,
जिस चीज़ की चाह है वो ही बेगानी है,
हँसते भी है तो दुनिया को हँसाने के लिए,
वरना दुनिया डूब जाये इन आखों में इतना पानी है

Aey Zindagi Tu Itni

Aey Zindagi Tu Itni Badsalukhi Na Kar,
Kaun Sa Yaha Hum Baar-Baar Aane Waale Hai

Aey Zindagi Tu Itni

Is Zindagi Se Sabhi Ko

Is Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,
Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti,
Tamanna Le Kar Jite Hai Yahan Sab Log,
Par Har Tamanna Taqdir Nahi Banti

Is Zindagi Se Sabhi Ko

Mom Ki Tarah

Mom Ki Tarah Pighalti Jaa Rahi Hain Ye Zindagi,
Kyun Iss Tarh Haath Se Fissal Rahi Hain Ye Zindagi,
Hum Tumhe Paana Chaahte Hai,
Dil Me Basaana Chaahte Hai,
Magar Kyun Unchaahe Sadmo Se Guzzar Rahi Hain Ye Zindagi

Mom Ki Tarah

Oos Ki Boondein Hain

Oos ki boondein hain aankh mai nami hain,
Na uper aasman hai na niche zameen hai,
Ye kaisa mod hai zindagi ka,
Jo log khaas hain unhi ki kami hai

Oos Ki Boondein Hain

Zindagi Ke Liye Jaan Jaroori Hai

ज़िन्दगी के लिए जान जरुरी है,
पाने के लिए अरमान ज़रूरी है,
हमारे पास चाहे हो कितना ही गम,
पर आपके चेहरे पर मुस्कान ज़रूरी है