Broken Heart Shayari - Page 8 - Hindi Shayari

Is Kadar Na Har Baat

Is kadar na har baat yaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharon se pucho,
Lehron se khelna to samunder ka shok hai,
Lagti h chot kaise kinaro se pucho.

Kash Ki Tujhe Mai

Kash ki tujhe mai bachpan me hi maang leta,
Har cheej mil jaati thi do aansu bahane ke baad,
Kitna ajeeb hai uska ye andaje mohabbat,
roj rula ke kahte h apna khayal rakhna,
Aye sanam bure hai ham, tabhi to ji rahe hain,
achhe hote to ye jalim duniya jine nahi deti.

Kaash Hum Bhi Hote

Kaash hum bhi hote shayri ke badshah,
Tujhe rulate teri be-wafaai ke shair suna suna kar.

Sab K Sab Afsos Ka

sab k sab afsos ka izhaar le kar aa gaye,
chubti huwi hamdardiyan kuch yaar le kar aa gaye,
aa gaye karne tere jane par izhaar e khayal,
hath mein jaise koi talwaar le kar aa gaye.

Dekh Ke Hume Wo

Dekh ke hume wo sir jhukate hai,
Bhula ke mehfil me nazre churate hai,
Nafrat h humse to bhi koi baat nahi,
Par gairon se milke humara dil kyun jalate ho.

Aap Ne Dil Pe

Aap ne dil pe dastakh jo di,
aisa laga ki saawan ne haazri di,
Mausam ke pahle barish ne dil ko bhigoya,
Bhige to kiske yaad me, jisne hame barish me rulaya.

Hothon Me Lekar Naam Unka

hothon me lekar naam unka main ji raha hu aaj bhi,
nindo me lekar khwaab unka main so raha hu aaj bhi,
unhe to pata hi nahi ke hum kitna chahte the unhe,
phir bhi unhi ki raho me intejar se baitha hu main aaj bhi.

Hum Jalate Hain Mushkil Se

hum jalate hain mushkil se jo diya andhi main,
kyu who daman ki hawa se hi bhuja jate ho,
kis se seekha hai ye andaz e muhabbat tum ne,
hum par roz nya dagh laga jate ho.

Maine Har Gham Khushi

Maine har gham khusi mein dala hai,
mera har ek chalan nirala hai,
log jin hardisho mein marte hai,
mujhko unn hardisho ne pala hai.

Aap Keh De To

App kah de to hum jina chod dete,
app kah de to hum har jidd chod dete,
app ke liye hum ne sub chod diye,
app ne bina kahe hi hume chod diya.

Wo So Jate Hai Aksar

Wo So Jate Hai Aksar Hume Yad Kiye Baiger,
Hume Nind Bhi Nhi Aati Unse Baat Kiye Baiger,
Kasur Unka Nhi Kasur To Hamara Hai,
Unhe Chaha Bhi To Unki Ejazat Ke Baiger.

Ek Tamana Thi

ek tamana thi so wo bhi khak ho kar reh gayi,
har qadam par dhokha apne pyar ka us ne diya,
raat bhar aate rahe hain aandhiyon ke qafile,
hadson ko bhi mere ghar ka pata us ne diya.

Aaj Keh Diya Phir Na

Aaj keh diya phir na kehna kabhi,
meri najro se door tum na rehna kabhi,
khusi bankar lafzo pe aaye ho tum,
aask bankar aankho se na behna kabhi.

Ishq-E-Zindagi Ne Kuch Aisi

Ishq-E-Zindagi ne kuch aisi raah badli hai,
asiyana hum dekhte hai, shakle unki dikhti hai.

Badal Jao Bhale Tum Magar

Badal jao bhale tum magar ye zehan me rakhna,
kahi pachtawa na ban jaye hum se be rukhi itni.

Khud Jam Peena Inhe

khud jam peena inhe bhi na aata tha,
pemane jo ankhon se pilane aye the,
humein dekh ke mehfil mein chup si ho gayi,
jo wafa ka matlab samjhane aye the.

Humari Har Khusi Ka

Humari har khusi ka eshaas tumhara ho,
tumhare har gam ka dard humara ho,
mar jaye to humko koi gam nahi,
bas aakhiri waqt tak sath tumhara ho.

Rehne Do Ki Ab Tum

रहने दो कि अब तुम भी मुझे पढ़ न सकोगे,
बरसात में काग़ज़ की तरह भीग गया हूँ!

Bharosa Mat Karna

Bharosa Mat Karna Is Duniya K
Logon Pe,
Mujhe Tabah Karne Wala Mera
Bohat Azeez Tha.

Dil Tootega Toh Fariyaad

Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi,
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi,
aaj kehte ho hamare paas waqt nahin,
par ek din mere liye waqt barbaad karoge tum bhi.