Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Wo mere ghar nahin aata, Mein us ke ghar nahin jaata
Magar in ehtiyatoN se, T’alluq mar nahin jaata
Bure achchhe ho jaise bhi ho, Sab rishte yahan ke hain
Kisi ko saath duniya se, Koi lekar nahin jaata
Gharon ki tarbiyat kya aagai TV ke haaton mein
Koi bachcha ab apne baap ke upar nahin jaata
Khule the sheher mein so dar, Magar ek had ke andar hi
Kahan jaata agar mein, Laut ke phir ghar nahin jaata
Muhabbat ke ye aansoo hain, Inhen aankhon me rehne do
Shareefon ke gharon ka, Mas’ala bahar nahin jaata.
Mein is ummid pe dooba ke tu bacha lega
Ab is ke baad mera imtehaan kya lega
Ye ek mela hai, wada kisi se kya lega
Dhalega din to har ek apna rasta lega
Mein bujh gaya to hamensha ko bujh hi jaunga
Koi charagh nahin hun jo phir jalaa lega
Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal ho wo badla kisi se kya lega
Hzaar tod ke aa-jaaun usse rishta “Waseem”
Mein jaanta hun, wo jab chahega bula lega.
Kuchh Bhi Bacha Na Kahne Ko Har Baat Ho Gayi,
Aao Kahin Sharab Piye Raat Ho Gayi,
Suraj Ko Chonch Mein Liye Murga Khada Raha,
Khidki Ke Parde Khinch Diye Raat Ho Gayi,
Woh Aadmi Ab Kitna Bhala Kitna Seedha,
Us Se Bhi Lijiye Aaj Mulakat Ho Gayi,
Raste Mein Woh Mila Tha Main Bach Kar Nikal Gaya,
Uski Fati Kamij Mere Saath Ho Gayi,
Naksha Utha Ke Koi Naya Shahar Dundhiye,
Is Shahar Mein Toh Sabse Mulakat Hi Gayi.
Apna Gham Lekar Na Kahin Aur Jaya Jaaye,
Gahr Mein Bikhari Huyi Cheejo Ko Sajaya Jaaye,
Jin Chiragon Ko Hawaon Ka Khouf Nahin,
Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye,
Baag Mein Jaane Ke Aadab Hua Karte Hain,
Kisi Titali Ko Na Phoolo Se Udaya Jaaye,
Khud Khusi Karne Ki Himmat Nahi Hoti Sab Mein,
Aur Kuchh Din Abhi Auron Ko Sataya Jaaye,
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yun Hi,
Kisi Rote Huye Bachhe Ko Hansaya Jaaye.
Kabhi Kabhi Yun Hi Humne,
Apni Dil Ko Bahlaya Hai,
Jin Baaton Ko Khud Nahin Samjha,
Auron Ko Samjhaya Hai,
Mir O Galib Ke Sheron Ne Kiska Sath Nibhaya Hai,
Saste Geeto Ko Likh Likh Kar Hane Ghar Banwaya Hai,
Hamse Pucho Ijjat Walon Ki Ijjat Ka Haal Kabhi,
Hamne Bhi Is Sahar Mein Rahkar Thoda Naam Kamaya Hai,
Koi Mila Toh Hath Milaya Kahin Gaye Toh Baatein Ki,
Ghar Se Bahar Jab Bhi Nikale Dinbhar Bojh Utaya Hai.
Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna,
Saamne Apne Aaina Rakhna,
Ghar Ki Taamir Chahe Jaisi Ho,
Is Mein Rone Ki Jagah Rakhna,
Jism Mein Failane Laga Hai Jahar,
Apni Tahai Ko Bacha Ke Rakhna,
Masjid Hain Namajiye Ke Liye,
Apne Dilon Mein Kahin Khuda Rakhna,
Milna Jhulna Jahan Jaruri Ho,
Milne Jhulne Ka Hoshla Rakhna.
Jinki Palken Bhig Rahi Hain Unko Bhi Gham Hoga,
Lekin Jis Par Aab Na Thahre Woh Moti Kam Hoga,
Bheeg Chuki Hai Raat Toh Sooraj Ke Ugne Tak Jaago,
Jis Takiye Par Sar Rakhoge Woh Takiya Nam Hoga,
Badal Chaand Ghatayein Sooraj Yeh Baatein Kya Jaane,
Unse Puchho Kis Basti Mein Kaisa Mosam Hoga,
Mere Chulhon Mein Toh Itniaag Nahin Thi,
Jis Se Sara Shahar Jala Hai Koi Parcham Hoga.
Tera Sach Hai Tere Dard Mein,
Jhoot Likha Hai Sab Kitabon Mein,
Ek Se Mil Ke Sab Se Mil Lijiye,
Aaj Har Sakhs Hai Nakabo Mein,
Tera Milna Tere Nahin Milna,
Ek Raasta Kayi Sarabo Mein,
Unki Nakamiyo Ko Bhi Giniye,
Jinki Sohrat Hai Kamyabo Mein,
Roshni Thi Sawal Ki Had Tak,
Har Najar Kho Gayi Jawabon Mein.
Zindagi Intezaar Jaisi Hai,
Door Tak Rahgujar Jaisi Hai,
Chand Bechehra Aahto Ke Siwa,
Saari Basti Majar Jaisi Hai,
Raaste Chal Rahe Hain Sadiyon Se,
Koi Manjil Dhool Jaisi Hai,
Koi Tanhai Abnahi Tanha,
Har Khamoshi Jaisi Hai,
Zindagi Roj Ka Hisab Kitab,
Kimati Shay Udhar Jaisi Hai.
Dil chhalak utha aankh bhar aayi
Aaj t.v par woh khabar aayi,
In dukho mein teri yaad bhi kya
Jaisi titali pahad par aayi,
Apni maa ki tarah udas udas
Beti shadi ke baad ghar aayi,
Ab toh main bhi najar nahi aata
Ya khuda konsi dagar aayi,
Tumne jo kiy asarafat mein
Woh nidamat bhi mee sar aayi…
Pasina band kamre ki umas ka jajb hai usmein
Hamare touliye mein dhoop ki khusboo kahan hogi,
Kisi gumnam pathar par bahut se naam likh doge
Toh kurbani hamari is tarah se javidaan hogi,
Jamine toh meri apno ne sari ganva di hain
Magar yeh ek muthi khak khud apna nishaa hogi,
Samander buddhe ho jaayenge aur ek fahisha machhli
Hamare shahilon aur jamgalon ki hukmaran hogi.
Chehre pe khushi chaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,
Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuruur aa jata hai,
Tum hussn ki khud ik duniyaa ho shayed ye tumhe maluum nahin,
Mehfil mei tumhaare aaney se har cheez pe nuur aa jata hai,
Hum paas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqaabil hote ho,
Betaab nigahon ke aagay pardaa sa zaruur aa jata hai,
Jab tum se mohabbat ki hum ne tab jaa ke kahin yeh raaz khula,
Marne ka saleeqa aatey hi jeenay ka shauur aa jata hai..
Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja,
Tuuta hua iqraar-e-wafaa saath liye ja,
Ik dil tha jo pehle hi tujhe somp diya tha,
Yeh jaan bhi ae jaan-e-adaa saath liye ja,
Taptii hui rahon se tujhe aanch na pohanche,
Diwanon ke ashkon ki ghataaa saath liye ja,
Shaamil hai mera khuun-e-jigr teri hinaa mei,
Yeh kum ho to khuun-e-wafaa saath liye ja,
Hum jurm-e-mohabbat ki saza paayen ge tanhaa,
Jo tujh se hui ho woh khataa saath liye ja.
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain.
Shaam-e-firaaq ab na puch aayi aur aa ke ttal gayi,
Dil tha ke phir behhal geya jaan thi ke phir sambhal gayi,
Bazm-e-khayal main tere husn ki shamma jall gayi,
Dard ka chaand bujh geya hijr ki raaat dhhal gayi,
Jab tujhe yaad kar liya subh mehak mehak uthi,
Jab tera gham jagaa liya raat machal machal gayi,
Dil se to har maamla kar ke chale they saaf hum,
Kehne main un ke saamne baat badal badal gayi,
Akhir-e-shab ke hum safar ‘faiz’ na jaane kya huye,
Reh gayi kis jagah sabaa subh kidar nikal gayi.
Kuchh Ishaare The Jinhen Duniyaa Samajh Baithe The Ham
Us Nigaah-E-Aashanaa Ko Kyaa Samajh Baithe The Ham
Raftaa Raftaa Gair Apanii Hii Nazar Men Ho Gaye
Vaah Rii Gaflat Tujhe Apanaa Samajh Baithe The Ham
Hosh Kii Taufiiq Bhii Kab Ahal-E-Dil Ko Ho Sakii
Ishq Men Apane Ko Diivaanaa Samajh Baithe The Ham
Beniyaazii Ko Terii Paayaa Saraasar Soz-O-Dard
Tujh Ko Ik Duniyaa Se Begaanaa Samajh Baithe The Ham
Bhuul Baithii Vo Nigaah-E-Naaz Ahad-E-Dostii
Us Ko Bhii Apanii Tabiiyat Kaa Samajh Baithe The Ham
Husn Ko Ik Husn Kii Samajhe Nahiin Aur Ai ‘Firaq’
Meharbaan Naameharbaan Kyaa Kyaa Samajh Baithe The Ham
Thartharii Si Hai Aasmanon Mein
Zor Kuchh To Hai Naatavaanon Mein
Kitanaa Khaamosh Hai Jahaan Lekin
Ik Sadaa Aa Rahii Hai Kaanon Mein
Koii Soche To Farq Kitanaa Hai
Husn Aur Ishq Ke Fasaanon Mein
Maut Ke Bhii Ude Hain Aksar Hosh
Zindagii Ke Sharaabkhaanon Mein
Jin Kii Taamiir Ishq Karataa Hai
Kaun Rahataa Hai Un Makaanon Mein
Inhiin Tinakon Mein Dekh Ai Bulbul
Bijaliyaan Bhii Hain Aashiyaanon Mein
Laai Hayaat Aaye Kazaa Le Chali Chale
Na Apani Khushi Aaye Na Apani Khushi Chale
Behatar To Hai Yahi Ke Na Duniyaa Se Dil Lage
Par Kyaa Karen Jo Kaam Na Bedillagi Chale
Ho Umr-E-Khizr Bhi To Kahenge Bavaqt-E-Marg
Ham Kyaa Rahe Yahaan Abhi Aaye Abhi Chale
Duniyaa Ne Kis Ka Raah-E-Fanaa Mein Diyaa Hai Saath
Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale
Naazaan Na Ho Khirad Pe Jo Honaa Hai Vo Hi Ho
Daanish Teri Na Kuchh Meri Daanishvari Chale
Kam Honge Is Bisaat Pe Ham Jaise Badqimaar
Jo Chaal Ham Chale Vo Nihaayat Buri Chale
Jaa Ki Havaa-E-Shauq Mein Hain Is Chaman Se Zauq
Apani Balaa Se Baad-E-Sabaa Kahin Chale
Marate Hain Tere Pyaar Se Ham Aur Ziyaadaa
Tu Lutf Mein Karataa Hai Sitam Aur Ziyaadaa
Den Kyon Ki Na Vo Daag-E-Alam Aur Ziyaadaa
Qimat Mein Badhe Dil Ke Diram Aur Ziyaadaa
Kyaa Hovegaa Do-Chaar Qadah Se Mujhe Saaqi
Main Lungaa Tere Sar Ki Qasam Aur Ziyaadaa
Vo Dil Ko Churaakar Jo Lage Aankh Churaane
Yaaron Kaa Gayaa Un Pe Bharam Aur Ziyaadaa
Kyon Main Ne Kahaa Tujh Saa Khudaa_i Mein Nahin Aur
Magarur Huaa Ab Vo Sanam Aur Ziyaadaa
Lete Hain Samar Shaakh-E-Samaravar Ko Jhukaakar
Jhukate Hain Sakhi Vaqt-E-Karam Aur Ziyaadaa
Jo Kunj-E-Qana’at Mein Hain Taqadir Pe Shaakir
Hai “Zauq” Baraabar Unhen Kam Aur Ziyaadaa
phirataa liye chaman mein hai diivaanaapan mujhe
zanjiir-e-paa hai mauj-e-nasiim-e-chaman mujhe
huu.N shamaa yaa ki sholaa Khabar kuchh nahii.n magar
fanuus ho rahaa hai meraa pairaahan mujhe
kuuche me.n terii kaun thaa letaa bhalaa Khabar
shab chaa.Ndanii ne aake pahanaayaa kafan mujhe
dikhalaataa ik adaa me.n hai sau-sau tarah banaav
kis saadaapan ke saath, teraa baa.Nkapan mujhe
aayaa huu.N nuur leke mai.n bazm-e-suKhan me.n ‘Zauq’
aa.Nkho.n pe sab biThaaye.Nge ahal-e-suKhan mujhe