Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Tumhare Bhi Dil Mein Humare Liye Kahin Pyar Hai Shayad
Warna Tumhari Ankhen Yun Na Roti Hum Se Juda Hote Hue
Thodi Thodi Sanso K Liye,Humne Zindagi Bechi,
Parchhaiyon Se Tang Aa K,Humne Roshni Bechi,
Aankho Mein Bas Aansu Hi Reh Gaye,
Varna Duniawalon Ne To Dosti Bhi Bechi
Mohabat K Sapnay Dikhatay Bohat Hai
Wo Raaton Main Hum Ko Jagatay Bohat Hai
Mai Ankhon Mai Kajal Lagaon To Kaise
In Ankho Ko Log Rulatay Bohat Hai
Tumhari Aankh Se Bhar Loon Suroor Aankhon Mein
Nazar Nazar Se Milaao Ke Main Sharaab Hoon
Tapish Sooraj Ki Hoti Hai Jalna Zameen Ko Perta Hai
Qasoor Ankhoun Ka Hota Hai Tarepnaa Dil Ko Prta Hai
Duriyo Ki Parwa Na Kijiye
Jab Dil Chahe Bula Lijye
Hum Zada Dur Nahi Aap Sy
Bus Ankhon Ko Palko Se Mila Lijye
Tumhari Aankhon Ki Kya Taarif Karon
Bas Inme Doob Jane Ki Khwahish Hai
Pehle Hi Teri Ada Ke Deewane Hain
Ab Kis Baat Ki Gunjaish Hai
Dekho Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain
Dekho Mere Dil Me Toofan Kiske Hain
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raaste Se Koi Nahi Gaya
To Phir Ye Pairon Ke Nishaan Kiske Hain
Aapse Door Hokar Hum Jayenge Kahan,
Aap Jaisa Yaar Hum Phir Payenge Kahan,
Dil Ko To Kaise Bhi Samjha Hi Lenge,
Par In Aankhon Ke Aansuon Ko Chupayenge Kahan
Jis Nazar Se Dekhte Rahe Is Duniya Ko Hum
Un Aankhon Mein Hamari Koi Pehchaan Bhi Naa Thi
Yeh Kaun Muskura Kar Idhar Say Guzar Gaya,
Bay Noor Rastoon Main Ujala Bikhar Gaya,
Socha Bohut Kisi Say Pyar Na Ho Magar,
Ankhon Ki Rah Say Koi Dil Main Utar Gaya
Koi Ankhon-Ankhon Se Baat Kar Leta Hai.
Koi Ankhon-Ankhon Main Mulakat Kar Leta Hai.
Bara Mushkil Hota Hai Jawab Dena,
Jab Koi Khamosh Rehkar Sawal Kar Leta Hai
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko
Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Dekha
‘Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do,
Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do,
Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein,
Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do,
Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,
Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do,
Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob,
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do’
Bhanwar ki goud me jaise kinara sath rehta hai,
Kuch aise hi tumhara aur hamara sath rehta hai,
Mohabbat ho k nafarat ho usi se mashwara ho ga,
Meri har kafiyat me istekhara sath rehta hai,
Safar me ain mumkin hai main khod ko chor don lekin,
Duaen karne walon ka sahara sath rehta hai,
Mere mola ne mujh ko chahaton ki saltanat de di,
Magar pehli mohabbat ka khasara sath rehta hai,
Agar syed mere lab par mohabbat hi mohabbat hai,
To phir yeh kis lie nafarat ka dhahara sath rehta hai.
Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujhse Khafa Ho Jaye,
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye,
Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa,
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye,
Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab,
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye,
Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain,
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye,
Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka “Wasi”
Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye.
Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaonga main,
Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaonga main,
Zindagi baad tere hona thi mushkil lekin,
Yeh na socha ke is haal mein ajaon ga main,
Dekh kar us ko mujhe yad kare gi dunya,
Aik din us ke had’o’haal mein aajaon ga main,
Kitne mausam they jo de kar mujhe taanay guzre,
Tum to kehte they ke ik saal mein ajaon ga main,
Sur mein ajaye ga jeevan tere aa jane se,
Tere aaney se kisi taal mein aajaon ga main,
Zakhm Jo Aap Ki Inaayat Hai Is Nishaani Ko Kyaa Naam De Ham,
Pyaar Divaar Ban Ke Rah Gayaa Hai Is Kahaani Ko Kyaa Naam De Ham,
Aap Ilzaam Dhar Gaye Ham Par Ek Ehasaan Kar Gaye Ham Par,
Aap Ki Ye Meharabaani Hai Meharabaani Ko Kyaa Naam De Ham,
Aap Ko Yun Hi Zindagi Samajhaa Dhup Ko Hamane Chaandani Samajhaa,
Bhul Hi Bhul Jis Ki Aadat Hai Ik Javaani Ko Naam Kyaa De Ham,
Raat Sapanaa Bahaar Kaa Dekhaa Din Huaa To Gubaar Saa Dekhaa,
Bevafaa Vaqt Bezubaan Nikalaa Bezubaani Ko Naam Kyaa De Ham,