Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Wo Inkar Karte Hai Ikraar Ke Liye
Nafrat Karte Hai Pyar Ke Liye
Ulte Chalte Hai Yeh Pyar Karne Wale
Aankhe Bandh Karte Hai Wo Deedar Ke Liye
Aankh Jab Band Kiyaa Karte Hain
Saamane Aap Huaa Karte Hain
Aap Jaisaa Hii Mujhe Lagataa Hai
Khvaab Men Jis Se Milaa Karte Hain
Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Sakte Thay
Tere Aansoo Meri Aankhoon Se Nikal Sakte Thay
Tum To Theray Rahay Jheel K Pani Ki Tarha
Dareya Bantay To Bohat Door Nikal Sakte Thay
Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashiq Dhal Jaate Hain
Us Se Kehna Hum Majay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mei
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho
Hm Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal
Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho
Saamne Na Ho Toh Tarasti Hai Aankhein
Yaad Me Teri Barasti Hai Aankhein
Mere Liye Na Sahi, Inke Liye Hi Aa Jaaya Karo
Tumse Bepanah Mohabbat Karti Hai Yeh Aankhein
Sham Se Ankh Mein Nami Se Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Se Hai
Daffan Kardoo Hamien K Sanss Milly
Nabz Kuch Deer Se Thami Se Hai
Waqat Rahta Nahi Kahien Tik Kar
Uss Ki Addat Bhi Aadmi Se Hai
Sham Se Ankh Mein Nami Se Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Se Hai
Aankhe Kholun To Chehra Uska Ho,
Aankhe Band Karu To Sapna Uska Ho,
Maar Bhi Jaau To Koi Gam Nahi, Agar…
Kafan Ke Badle Dupatta Uska Ho
Aasu Ko Aankhon Ki Dehliz Par Laya Na Karo,
Aapne Dil Ka Hal Kisiko Bataya Na Karo,
Log Muthi Mein Namak Liye Goom Rahe Hai,
Apne Zakhm Kisiko Bataya Na Karo
Tere Chehre K Naqoosh Aisey Hain
Aankh Uthata Hoon! Bhatak Jata Hon
Teri Aankhon Se Terey Honton Tak
Safar Itna Hai Keh Thak Jata Hoon
Aapni Aankhon Mein Mera Naam Likh Do
Har Roz Tum Aapna Dil Mera Naam Kar Do
Agar Bhool Jaoge Humen Toh Mar Jayenge Hum
Tum Aapni Labon Ki Narm Khusbhu Mere Naam Kar Do
Jab Bhi Haath Uthein Hain Dua Ke Liye
Mere Labon Pe Tera Hi Naam Aaya
Kab Se Aankh Main Chupa K Rakha Tha
Tere Dukh Main Aaj Wohe Aanso Kaam Aaya
Bahut Dur Magar Bahut Paas Rehte Ho
Aankhon Se Dur Magar Dil Ke Paas Rehte Ho
Mujhe Bas Itna Bataa Do Ae Dost
Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho
Woh Kaath Ke Purze Ura Raha Tha
Hawaoon Ka Rukh Dikha Raha Tha
Kuch Aur Bhi Ho Gaya Numaayan
Main Apna Likha Mita Raha Tha
Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko
Meri Kahani Suna Raha Tha
Dil Mein Aansuon K Siwa Koi Cheez Nahi Tikti
Kab Milegi Uski Yaadon Se Mujhe Mukhti
Zindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon Ka
Kisi Ajnabi K Chale Jane Se Zindegi Toh Nahi Rukhti
Yun Nazar Ki Baat Aur Dil Chura Gaye,
Andhero Ke Saaye Mein Dhadkan Suna Gaye,
Hum To Samjhe The “Ajnabi” Aapko,
Aap To Hume Apna Bana Gaye
Zindagi Mein Har Chiz Pahli Baar Hoti Hai
Kahin Kisi Se Pyaar To Kahin Takrara Hoti Hai
Jo Kya Hua Ke Hum Ajnabi Hai Aapke Liye
Magar Dosti Ajnabiyon Se Hi Pahli Baar Hoti Hai
Ek Ajnabi Hai Magar,Rooh-Shanas Lagta Hai
Meri Tarha Mujhe,Wo Bhi Udaas Lagta Hai
Karon Talash Tou Ho Shak Wajood Pe Us K
Jo Aankhain Band Karon,Aas Paas Lagta Hai