Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai
Teri Khushbu Meri Sanson Me Hai
Mere Dil Ko Jo Ghayal Kar Jaye
Aisi Ada Sirf Teri Baaton Me Hi Hai
Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hain
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain
Pata Hai Majbuur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain
Aapse Dur Hokar Hum Jaaynge Kahan
Aap Jaisa Pyaar Hum Paayenge Kahan
Dil Ko Toh Kaise Bhi Samjha Lenge Lekin
Aankhon Ke Aansoon Chupaayenge Kahan
Pal Hain Ke Rukte Nahi Udte Hi Jate Hain Phir
Ankhon Ki Dehleez Pe Kaise Ruk Gaya Wo Ek Pal
Na Koi Dekh Le Tujhe Ko Meri Aankhon Ke Raste Se
Teri Masoom Si Surat Chupaye Dil Mai Betha Hon
Loog Samajte Hain Humne Tum Ko Bhula Rakha Hai
Woh Nahi Jante Dil Mein Chupa Rakha Hai
Dekh Na Le Koi Tumhe Meri Ankho Mein
Iss Dar Se Palkoon Ko Juka Rakha Hai
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte
Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kyon Ho
Dur Isharo Se Kabhi Baat Nahi Hoti
Chand Aansu Bahane Se Barsat Nahi Hoti
Yeh Jindagi Koi Khawab Nahi Haqqit He
Aankhen Band Karlene Se Raat Nahi Hoti
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
Bhar Ayi Ankhe Jab Unka Naam Aya
Ishq Nakam Hi Sahi Fir Bhi Boht Kaam Aya
Humne Ishq mein Aisi Bhi Guzari Hai Ratte
Jab Tak Ansu Na Bahe Dil Ko Aaram Na Aya
Zakham Itne Gehre Hain Izhaar Kia Karain,
Hum Khud Nishana Ban Gaye Hain Waar Kia Karain,
Mar Gaye Ham Magar Khuli Rahein Aankhain,
Ab Is Say Ziyadah Unka Intezaar Kia Karain
Pyar Mein Rone Wali Aankhen Khushk Bhi Hon To Kaise Hon
Jitne Mein Ek Aanso Tapka Utne Mein Do Aur Bane
Na Jaane Uspar Itna Yakin Kyu Hai
Uska Khayal Itna Hasin Kyu Hai
Suna Hai Pyaar Ka Dard Mitha Hota Hai
To Aankhon Se Nikala Aansu Namkin Kyu Hai
Sans lena bhi kaisi aadat hai
jiye jana bhi kya ravayat hai
koi aahat nahi badan mein kaheen
koi saya nahi hai aankhon mein
panv behis hain, chalte jate hain
ik safar hai jo bahata rehta hai
kitne barason se, kitni sadiyon se
jiye jate hain, jiye jate hain
aadaten bhi ajeeb hoti hain
Tumne Jiss Din Nigah Pheri Thi
Sooni Us Din Se Duniya Meri Thi
Marke Bhi Band Na Hui Aankhen
Iss Kadar Mujko Pyas Teri Thi
Ankh Jo Kuch Dekhti Hai, Lab Pay Aa Sakta Naheen
Mehway Hairat Hon K Duniyan Kiya Say Kiya Ho Jaay Gi
Jab Khuda Ne Tujhe Banaya Hoga,
Ek Aadha Jaam To Usne Bhi Lagaya Hoga..
Aise Hi Nashili Nahi Teri Aankhen,
Jaam Ka Kuch Asar To Tere Mein Bhi Aaya Hoga
Na Jane Kyun Ankhon Me Bas Gaya Hai Wo
Hum Ne To Use Badi Be Dili Se Dekha Tha
Unki Aankhon Mai Bhi Halki Si Nami Rehti Hai
Baatain Karte Hain Jo Oron Ko Hansane Ke Liye