Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Raqeebon Ne Rapat Likhwaai Hai Ja Ja Ke Thaane Mein,
Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein
Laakh Dhoonden, Gauhar-E-Maqsood Mil Sakta Nahin,
Hukm Gar Tera Na Ho, Patta Bhi Hil Sakta Nahin
Allah Re Kamaal-E-Khudi Ki Wus’aten
Mera Hi Saamna Hai Jidhar Dekhta Hoon Main
Us Ka To Noor Jalwa-Numa Har Bashar Mein Hai
Ai Ghaafilo Futoor Tumhaari Nazar Mein Hai
Aankh Bhi Chaahiye Nazzaara-E-Wahdat Ke Liye
But Ko Aasaan Nahin Munh Se Khuda Kah Dena
Woh Hai Sab Jagah Jo Karo Nazar, Woh Kahin Nahin Jo Ho Be-Basar,
Mujhe Aaj Tak Na Hui Khabar, Woh Kahaan Hai, Aur Kahaan Nahin
Jahaan Toofaan Mein Phans Kar Safeena Dagmagaata Hai,
Wahaan Qadar-E-Khuda-O-Na-Khuda Maaloom Hoti Hai
Aql Mein Jo Ghir Gaya, La Intehaa Kyonkar Hua,
Jo Samajh Mein Aa Gaya, Phir Woh Khuda Kyonkar Hua
Khuda Ka Matlab Hai Khud Mein Aa Tu, Khud Aagahi Hai Khuda Shanaasi,
Khuda Ko Khud Se Juda Samajh Kar Bhatak Raha Hai Idhar Udhar Kyon
Chamak Teri Ayaan, Bijli Mein, Aatish Mein, Sharaare Mein,
Jhalak Teri Hawaida Chaand Mein, Sooraj Mein, Taare Mein
Saudaagri Nahin, Yeh Ibaadat Khuda Ki Hai,
Ai, Be-Khabar, Jizaa Ki Tamanna Bhi Chhor De
Ghafil Khuda Ki Yaad Pe Mat Bhool, Zeenhaar,
Apne Taein Bhula De Agar Tu Bhula Sake
Sab Ke Dil Mein Hal Jagah Teri, Jo Tu Raazi Hua,
Mujh Pe Goya Ik Zamaana Meharbaan Ho Jaaye Ga
Tha Woh To Rashk-E-Hoor-E-Bahishti Hameen Mein ‘Meer’,
Samjhe Na Hum To Fahm Ka Apni Qasoor Tha
Na Tha To Khuda Tha, Na Hota To Khuda Hota,
Duboya Mujh Ko Hone Ne, Main Na Hota To Kya Hota
Museebat Jis Se Zaail Ho, Woh Saamaan Kar Dega,
Na Ghabrana, Khuda Sab Mushkilen Aasaan Kar Dega
Kishti E Dil Ki Ilaahi, Bahr E Hasti Mein Ho Khair,
Na Khuda Milte Hain, Lekin Ba-Khuda Milta Nahin