Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Is Zindagi Ko Jeene Ki Aarzoo,
Bin Tere Hai Adhuri,
Tera Sath Jo Mil Jaye,
Meri Zindagi Ho Jaye Puri
Zindagi Hass Ke Basar Karna,
Nafrato Ke Raste Par Na Safar Karna,
Wafa Na Ho To Mohabbat Adhoori Hai,
Mohabbat Ke Safar Me Wafa Ki Fikar Karna,
Mohabbat Har Kisi Ka Muqaddar Nahi Hoti,
Mile Jo Mohabbat To Iski Kadar Karna
Lamho ki ek kitaab hain zindagi,
Saanso aur khyalo ka hissab hai zindagi,
Kuch jarurate puri kuch khwaishe aduri,
Bas inhi sawalon ka jawab hain zindagi
Tu Shaq Na Kar Mere Jazbaton Pe,
Tere Saath Hi Zindagi Meri Khubsurat Hai,
Jitni Ehmiyat Hai Pani Ki Marte Insan Ke Liye,
Bus Utni Hi Mujhe Teri Zarurat Hai
Gham na kar Zindagi bahut badi hai,
Chahat ki mehfil tere liye saji hai,
Bas ek bar muskura kar tho dekh,
Taqdeer khud tujhse milne bahar khadi hai
Wo mujhse aksar ye sawal puchti hai,
“Tum mujhe itna pyar kyon karte ho?
Koi jakar bata de usko ki,
Zindagi kisko pyari nhi hoti
Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai,
Her Kisi Ko Kisi Na Kisi Ki Talash Hai,
Kisi Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi,
Aur Kisi Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi
Ruthi jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gam to seh lenge hum,
Bus aap rehna sath hamare,
Aasuo mai bhi muskura lenge hum
“मुझे तैरने दे या फिर बहना सिखा दे,
अपनी रजा में अब तू रहना सिखा दे,
मुझे शिकवा ना हो कभी भी किसी से,
हे ईश्वर !!
मुझे सुःख और दुःख के पार जीना सिखा दे| “
Na Jane Zindagi Main Kitne Gam Aate Hain,
Aankho Main Aansu Bhar Aate Hain,
Ye Aansu Sookh Bhi Nahi Pate,
Ki Doosre Gam Aankho Ko Gila Kar Jate Hain
Seekh raha hu dheere dheere,
Iss duniya k rivaaz,
Jisse matlab nikal jaye,
Usey zindagi se nikaal do
Rashme ulfat ko nibhaye to nibhaye kaise,
Har taraf aag hai daaman ko bachaye kaise,
Bojh hota jo gamo ka to utha bhi lete,
Zindagi bojh bani to fir uthaye kaise
कागज़ के नोटों से आखिर
किस किस को खरीदोगे,
किस्मत परखने के लिए यहाँ आज भी
सिक्का ही उछाला जाता है
Bahut Kuchh Humne Khoya,
Aur Bahut Kuchh Paaya,
Kasam Se Iss Zindagi Ne Humein Bahut Hasaaya,
Bahut Rulaaya,
Phir Bhi Shikwa Nahi Iss Zindagi Se Hume Koi,
Kyunki Isi Ne Kuchh Haseen Dosto Se Bhi Milaaya
Zindagi guzar jaye par pyar kam na ho,
Yaad humein rakhna chahe paas hum na ho,
Qayamat tak chalta rahe yeh pyar ka safar,
Dua karo rab se kabhi yeh rishta khatam na ho
समझ ना आया ऐ जिंदगी तेरा ये फलसफा,
एक तरफ कहती है सबर का फल मीठा होता है
और दूसरी तरफ कहती है
वक़्त किसी का इंतजार नही करता
Bahut Pehle Hi Unn Kadmo Ki Aahat Jaan Lete Hai,
Tujhe Aey Zindagi, Hum Door Se Hi Pehchaan Lete Hai
Zindagi tujhse har kadam par samjhota kyun kiya jaye,
Shauk jeene ka hai magar itna bhi nahi ki, Mar-mar ke jiya jaye.
Jab jalebi ki tarah ulajh hi rahi hai tu Aey zindagi,
Toh fir kyun na tujhe chaashni mai dubokar maza hi le liya jaye
अपनी तो ज़िन्दगी है अजीब कहानी है,
जिस चीज़ की चाह है वो ही बेगानी है,
हँसते भी है तो दुनिया को हँसाने के लिए,
वरना दुनिया डूब जाये इन आखों में इतना पानी है
Aey Zindagi Tu Itni Badsalukhi Na Kar,
Kaun Sa Yaha Hum Baar-Baar Aane Waale Hai