Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Teri Zindagi Main Khushiya Tamam Aaye,
Khilti Baharon Pai Bhi Tera Naam Aaye,
Koi Puche Tujse Pyar Kya Hai,
To Tere Honto Pe mera Naam Aaye
Deta Raha Fareb Koi Sadgi Ke Sath,
Itna Bada Majak Meri Zindgi Ke Sath,
Shayad Saja Mili Hai Us Jurm Ki Hume,
Humne Pyar Hi Kiya Ek Ajnabi Ke Sath
Hansi Aapki Koi Chura Na Paye,
Aapko Kabhi Koi Rula Na Paye,
Khusiyon Ka Deep Aise Jale Aapki Zindagi Mai,
Ki Koi Tufaan Bhi Use Bhujha Na Paye
Zindagi tasveer bhi Hai or taqdeer bhi hain,
Farak to bas rango ka hain,
Maanchahe rango se bane to tasveer,
Or aanjane rango se bane to taqdeer
Meri Zindagi Mujhe Ye Bata,
Mujhe Bhula Ke Tujhe Kya Mila,
Meri Hasrato Ka Jawab De,
Mujhe Rula Ke Tujhe Kya Mila,
Tere 4 Din Ke Pyar Se,
Mujhe Umar Bhar Ka Gam Mila,
Mai To Toot Ke Bikhar Gaya,
Magar Mujhe Tod Ke Tujhe Kya Mila
Fir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi,
Zindagi Zulf Nahi Fir Jo Sanwar Jayegi,
Thaam Lo Hath UsKa Jo Pyar Kare Tum Se,
Ye Zindagi Thehregi Nahi Jo Guzar Jayegi
Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar,
Jee le zindagi khushi ki talaash na kar,
Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost,
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar
Zindagi hai nadan isiliye chup hoon,
Dard hi dard hai subah shaam isliye chup hu,
Keh du jamane se dastan apni,
Usme ayega tera nam isliye chup hu
Zindagi se hum apni..
Kuch udhhar nahi lete,
Kafan bhi lete hai..
To apni Zindagi dekar
Zindagi mujhse yun daga na kar,
Main zinda rahu bin uske ye dua na kar,
Dekhta hai use koi to hoti hai jalan,
Aey hawa tu bhi use chuaa na kar
राह संघर्ष की जो चलता है,
वो ही संसार को बदलता है।
जिसने रातों से जंग जीती है,
सूर्य बनकर वही निकलता है।
Apni zindagi me mujhko karib samajhna,
Koi gum aaye to sharik samjhna,
De denge muskurahat aansu ke badle,
Magar hazaro me thoda aziz samajhna
Zindagi Hasne Ka Naam Hai,
Rona Kis Kaam Ka,
Jaane Wale Chale Gaye,
Unke Liye Dil Dukhana Kis Kaam Ka
Apni zindagi ka alag usool hai,
Pyar ki khatir to kante bhi qubool hai,
Hass ke chal du kaanch ke tukdo par,
Agar pyar kahe ye mere bichaye hue phool hain
Milna ek ittefaq hai,
Aur bichadna majburi hai,
Char din ki is zindagi mein,
Sabka sath hona jaruri hai
Tere pyar mein do pal ki zindagi bahut hai,
Ek pal ki hansi or ek pal ki khushi bahut hai,
Yeh duniya mujhe jane, ya na jaane,
Teri aankhe mujhe pehchane yhi bahut hai
Zindagi Se Pucho Ye Kya Chahti Hai,
Bas Ek Dil Se Wafa Chahti Hai,
Kitni Masoom Or Nadaan Hai Zindagi,
Khud To Bewafa Hai Aur Dusro Se Wafa Chahti Hai
Wohi Ranjishein,
Wohi Hasratein,
Na Hi Dard-E-Dil Mai Kami Hui…
Hai Ajeeb Si Meri Zindagi,
Na Guzar Saki Na Khatam Hui
Zindagi ki aise daud mein…
Daud ke karna kya hai!!
Jab yehi jeena hai dosto to phir…
Marna kya hai
Ajeeb Bhi Tu Hai Nasib Bhi Tu Hai,
Duniya Ki Bhid Mai Karib Bhi Tu Hai,
Teri Duao Se Hi Chalti Hai Zindagi,
Kyuki Rabb Bhi Tu Hai Taqdir Bhi Tu Hai