Kya Zamana Tha Ke Hum Roz


Kya zamana tha ke hum har roz mila karte the,
Raat bhar chaand ke humraah phira karte the,

Jahan tanhaayiyan sar phorr ke so jati hain,
Un makaanon main ajab log raha karte the,

Kar diya aaj zamaane ne unhe bhi majboor,
Kabhi yeh log mere dukh ki dawaa karte the,

Dekh kar jo humen chup chaap guzar jaata hai,
Kabhi uss shakss ko hum pyaar kiya karte the,

Itefaqaat-e-zamana bhi ajab hain “nasir”,
Aaj woh dekh rahe hain jo suna karte the.

Leave a comment