Daagh Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Azal Ko Dosh Dein

Azal ko dosh dein, taqdeer ko royein, mujhe kose,
Mere qatil ka charcha kyon hai mere sogwaron mein.

Tere Wade Par Sitamgar Abhi

Tere wade par sitamgar abhi aur sabr karte,
Agar apni zindagi par hamein etbar hota.

Afat Ki Shokhiyan Hain

Afat Ki Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Main
Mehshar K Fitne Khelte Hain Jalwa-Gah Main.

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karein

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karein,
Janevali Chiz Ka Gam Kya Karn.

Butan-E-Mahvash Ujri Huyi Manzil

Butan-E-Mahvash Ujri Huyi Manzil Main Rahte Hain,
K Jis Ki Jan Jati Hai Usi K Dil Main Rahte Hain..

Ranj Ki Jab Guftaguu Hone Lagi

Ranj Ki Jab Guftaguu Hone Lagi
Aap Se Tum Tum Se TU Hone Lagi.

Raha Na Dil Main Woh Bedard

Raha na dil main woh bedard aur dard raha,
Muqeem kon hua hai, maqaam kis ka thaa..

Main Aur Harf-E-Shikwah Ghalat

Main Aur Harf e Shikwah Ghalat Ae Sanam Ghalat
Vallah Jhoot Hai Ye Khudaa Ki Qasam Ghalat.

Le Chala Jaan Meri Rooth Ke

Le chala jaan meri rooth ke jana tera,
Aese aaney se to behter tha naa ana tera.

Ajab Apna Haal Hota Jo

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota..

Khoob Parda Hai Ke Chilman

Khoob parda hai ke chilman se lage bethe hain,
Saaf chupte bhi nahi saamne aatey bhi naheen..

Rahega Ishq Tera Khaak Mein

Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe,
Ke Ibtidaa Mein Huye Ranj Intihaa Ke Mujhe.

Kyun Vasl Ki Shabb Hath Lagane

Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete,
Maashuuq ho ya koi amaanat ho kissi ki..

Nahi Khel Ae Daagh

Nahi Khel Ae Daagh ! Yaaron Se Keh Do
K Aati Hai Urdu Zaban Aate Aate.

Le Chala Jaan Mei Rooth Ke Jaana Tera

Le chala jaan meri rooth ke jaana tera,
Aese aaney se to behtar tha naa aana tera.