Shayari About Ghar - Hindi Shayari

Ghar Ki Dahleej Par Meri

Ghar Ki Dahleej Par Meri,
Jab Kadam Woh Rakhenge,
Har Baat Ko Kahne Se Pahle,
Woh Hamein Yaad Jarur Karenge.

Ghar Ki Dahleej Par Meri

Jab Kis Se Koi Gila Rakhna

जब किसी से कोई गीला रखना, सामने अपने आईना रखना,

यूं उजालों से वासता रखना, शम्मा के पास ही हवा रखना,

घर कि तामीर चाहे जैसी हो, इसमें रोने कि जगह रखना,

मस्जिदें हैं नामाजियों के लिए, अपने घर में कहीं खुदा रखना,

मिलना-जुलना जहाँ जरूरी हो, मिलने-जुलने कि हौसला रखना !

Ghar Mein Yeh Maanoos

Ghar Mein Yeh Maanoos Si Khushboo Kahan Se Aa Gayi,
Is Kharaabe Mein Agar Aayaa, Gaya Koi Nahin.

Ghar Mein Yeh Maanoos

Ghar Ko Yun Dekh Rahe Hain

Ghar Ko Yun Dekh Rahe Hain Jaise,
Aaj Hi Ghar Nazar Aayaa Hum Ko.

Ghar Ko Yun Dekh Rahe Hain

Ghar Kabhi Ujra Nahin

Ghar Kabhi Ujra Nahin, Ghar Ka Shijra Hai Gawaah,
Hum Gaye To Aa Ke Koi Doosra Rah Jaaye Ga.

Ghar Kabhi Ujra Nahin

Ghar Ka Darwaza

Ghar Ka Darwaza Khula Rakha Hai,
Waqt Mil Jaaye To Zahmat Karna.

Ghar Ka Darwaza

Bahut Dino Mein

Bahut Dino Mein Mere Ghar Ki Khamoshi Tooti,
Khud Apne Aap Se Ek Din Kalaam Main Ne Kiya.

Bahut Dino Mein

Ajeeb Khawab Tha

Ajeeb Khawab Tha Apne Hi Ghar Mein Saari Raat,
Talash Karta Raha Mujh Ko Apna Ghar Na Mila.

Ajeeb Khawab Tha

Ajeeb Khawab Tha

Us Se Kehna Ke Palkon Par

Us Sey Kahna Ke Palkon Par Na Taanke Khwaab Ki Jhaalar,
Samandar Ke Kinaare Ghar Banaa Ke Kuchh Nahin Miltaa.

Us Se Kehna Ke Palkon Par

Mera Khudaa Mujhe

Mere Khudaa Mujhe Itnaa To Motabir Kar De,
Main Jis Makaan Men Rahtaa Hoon Us Ko Ghar Kar De.

Mera Khudaa Mujhe

Sadak Ko Chhod Kar

Sadak Ko Chhod Kar Chalnaa Pade Gaa,
Ke Mere Ghar Ka Kachchaa Raastaa Hai.

Sadak Ko Chhod Kar

Baarish Hui To Ghar

Baarish Hui To Ghar Ke Dariche Se Lage Ham,
Chup-Chaap Sog-Vaar Tumhen Sochte Rahe.

Baarish Hui To Ghar

Ye Sard Raat Ye Aavaragi

Ye Sard Raat Ye Aavaragi Ye Neend Kaa Bojh,
Ham Apne Shahar Mein Hote To Ghar Gaye Hote.

Ye Sard Raat Ye Aavaragi

Ghar To Aisaa Kahaan Thaa

Ghar To Aisaa Kahaan Thaa Lekin,
Dar-Ba-Dar Hain To Yaad Aataa Hai.

Ghar To Aisaa Kahaan Thaa

Jab Ghar Ko Mere

Jab Ghar Ko Mere Aag Lagi To Kuchh Maal Bacha Thaa Jalne Se,
Aur Vo Bhi Un Ke Haath Lagaa Jo Aag Bujhaane Aaye The.

Jab Ghar Ko Mere

Allah Re Be Khudi Tere

Allah Re Be Khudi Tere Ghar Ke Aas Paas,
Har Dar Pe Di Sadaa Tere Dar Ke Khayaal Mein.

Allah Re Be Khudi Tere

Kuchh Din To Naseer Aao

Kuchh Din To Naseer Aao Chalo Ghar Mein Raha Jaaye,
Loagon Ko Yeh Shikwa Hai Ke Ghar Par Nahin Milta.

Kuchh Din To Naseer Aao

Ji Dhoondhta Hai Ghar

Ji Dhoondhta Hai Ghar Koi Donon Jahaan Se Door,
Is Aap Ki Zamin Se Alag, Aasmaan Se Door.

Ji Dhoondhta Hai Ghar

Kuchh Hai Ki Jo Ghar

Kuchh Hai Ki Jo Ghar Pe Nahin Paata Hai Kisi Ko,
Varna Koi Aise To Safar Mein Nahin Rahtaa.

Kuchh Hai Ki Jo Ghar

Nagi Nagri Phira Musaafir

Nagi Nagri Phira Musaafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya,
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraaya Bhool Gaya.

Nagi Nagri Phira Musaafir