Shayari About Distance - Hindi Shayari

Duriyon Ki Na Parwah Kiya Kijiye

Duriyon ki na parwah kiya kijye,
Dil jab bhi pukare bula liya kijye,
Hum dur zyada nahin aap se,
Bus apni aankhon ko palkon se mila liya kijye.

Duriyon Ki Na Parwah Kiya Kijiye

Is Dil Ka EK Armaan Hai

Is dil ka ek armaan hai,
ik chand me hamari jaan hai,
Jise dur se dekhna to mumkin hai,
Par milna kahan aasan hai,
Kyon ki hum to ik zameen hain,
aur wo ik aasman hai.

Is Dil Ka EK Armaan Hai

Dur Humse Jaa Paoge Kaise

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise,
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanson Ko Rok Paoge Kaise.

Dur Humse Jaa Paoge Kaise

Chalo Ek Dua To Apni

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyi,
Mil Liye Tum Apne is Deewane Se.

Karo Koshish Ki hum tumhare Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Chalo Ek Dua To Apni

Chale Gaye Ho Dur

Chale gaye ho dur kuch pal ke liye,
Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye,
Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye,
Jab dil me ho aap harpal ke liye.

Chale Gaye Ho Dur

Is Dil Ki Daastan Bhi

Is Dil Ki Daastan Bhi Badi Ajeeb Hoti Hai,
Badi Muskil Se Ise Khushi Naseeb Hoti Hai.
Kisi Ke Paas Aane Par Khushi Ho Na Ho,
Par Door Jane Par Badi Takleef Hoti Hai.

Is Dil Ki Daastan Bhi

Kuch Kadmo Ki Hi Doorie

Kuch kadmo ki hi doorie par woh mere saamne hain,
Chupke se dekh aankhein band kar leta hoon,
Kya waqt ki majboori hai use chhoo nahi sakta,
Zindagi saamne hai mere saansein le nahi sakta.

Kuch Kadmo Ki Hi Doorie

Doorie Hui To Unse

Doorie hui to unse karib aur hum hue,
Ye kaise faasle the jo badhne se kam hue.

Ye hai aag ishq ki jiski meethi hai jalan,
Jisme durd hai sukun aur doorie hai milan..

Doorie Hui To Unse

Doori Sahi Nahi Jaati

Doori sahi nahi jaati ab mujhse,
is kadar pyar kar bathe hai tujse,
dua mangu bhi to kaise milne ki,
mera to rab hi khafa hai mujse…!!!

Doori Sahi Nahi Jaati

Tujhse Doori Ka Ehsas

Tujhse doori ka ehsas satane laga,
Tere sath gujra har lamha yaad aane laga,
Jab bhi koshish ki tujhe bhulne ki aey mere hamdum,
Tu aur jyada dil ke kareeb aane laga.

Tujhse Doori Ka Ehsas

Teri Doori Ka Ehsaas

Teri Doori Ka Ehsaas Sataane Lagaa,
Teri Saath Guzaraa Har Waqt Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Tujhe Bhoolne Ki Koshish Ki Mere Dil Ne,
Aye Dost,Tu Dil Ke Aur Bhi Kareeb Aane Laga.

Teri Doori Ka Ehsaas

Aazmaish Dosti Mein

Aazmaish dosti mein jarruri hoti hai,
Na mill pana kisi ki majburi hoti hai,
Yaad door se dost ko kar to sakte hai,
Lekin dil ki hasrat to milne se hi puri hoti hai.

Aazmaish Dosti Mein

Pyar Se Pyari Koi Majboori

Pyar Se Pyari Koi Majboori Nahi Hoti,
Kami Apno Ki Kabhi Poori Nahi Hoti,
Dilon Ka Alag Hona Ek Alag Baat Hai,
Nazron Se Door Hona Koi Doori Nahi Hoti.

Pyar Se Pyari Koi Majboori

Har Aashiqi Ka Matlab

Har aashiqi ka matlab gham nahi hota,
Dooriyan badane se pyar kam nahi hota,
Waqt bewaqt aa jata hai aankho mein pani,
Kyun ki yaadon ka koi mausam nahi hota.

Har Aashiqi Ka Matlab

Tumse Doori Ka Ehsaas

Tumse Doori Ka Ehsaas Sataane Lagaa,
Tere Saath Guzaraa Har Lamha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Tujhe Bhoolne Ki Koshish Ki Aye Dost,
Tu Dil Ke Aur Bhi Kareeb Aane Laga !

Tumse Doori Ka Ehsaas

Ehsas Hoga Jab Hum

Ehsas Hoga Jab Hum Tumse Dur Ho Jayenge
Ankhon Me Ansu Honge Par Nazar Na Ayenge
Koi Saath Na De To Hame Yaad Karna
Asman Me Bhi Honge To Laut Ayenge.

Ehsas Hoga Jab Hum

Tere Liye Khudko

Tere Liye Khudko Majboor Kar Liya,
Zakhmo Ko Humne Apne Nasoor Kar Liya,
Mere Dil Me Kya Tha Ye Jaane Bina,
Tune Khudko Humse Kitna Door Liya.

Intezaar Ka Jo Meetha Dard

Intezaar ka jo meetha dard diya hai tumne,
Mujh par bada eshaan kiya hai tumne,
Ye hickiyan bhi to nahi aati kambakat,
Jo sochun ki yaad kiya hai tumne.

Intezaar Ka Jo Meetha Dard

Jaane Kya Samjha Woh Mujhe

Jaane Kya Samjha Woh Mujhe,
Jaane Kya Samjhi Main Use,
Faasla Nazar Aaya Kuch Kadmon Ke Saath Se.

Jaane Kya Samjha Woh Mujhe

Mita Denge Yeh Doori

Mita Denge Yeh Doori Yeh Faslay bhi,
Kahogi Ek Baar K Milo Aa K Kabhi,
Na Honge Door Phir Tum Say Is Zindagi Main,
Khula Rakho Tum Dar Apna Hum Aate Hain Abhi.

Mita Denge Yeh Doori