Nida Fazli Shayari - Hindi Shayari

Garj Baras Fir Pyasi Dharti Ko

Garaj Baras Fir Pyasi Dharti Ko Pani De Moula,
Chidiyaon Ko Dana Bachhon Ko Gurdhani De Moula,

Do Aur Do Ka Jod Hamesha Char Kahan Hota Hai,
Soch Samajh Walon Ko Thodi Nadani De Moula,

Fir Rohan Kar Jahar Ka Pyala Chamka Nayi Saliben,
Jhuton Ko Duniya Mein Sach Ko Aabha De Moula,

Fir Murat Se Bahar Aakar Charon Or Bikhar Ja,
Fir Mandir Ko Koi Mira Deewani De Moula.

Koi Kisi Se Khush Ho

Koi Kisi Se Khush Ho, Aur Woh Bhi Aksar Ho,
Yeh Baat Toh Galat Hai,

Rista Libash Bankar Maila Nahin Hua Ho,
Yeh Baat Toh Galat Hai,

Har Baat Uski Achhi, Lagti Hai Dil Ko Sachhi,
Fir Bhi Thodi Hai Kachhi,

Jo Uska Haadisa Hai, Mera Bhi Tajurba Ho,
Yeh Baat Toh Galat Hai.

Kahin Chhat Thi Deevao Darr The Kahin

Kahin Chhat Thi Deevao Darr The Kahin,
Mila Mujhko Ghar Ka Pata Dera Se,

Diya Toh Bahut Zindagi Ne Mujhko,
Magar Jo Diya Woh Diya Dera Se,

Hua Na Kuchh Kaam Aasha Se,
Gujre Raat Din Kuchh Is Tarah.

Yeh Sab Itefakat Ka Khel Hai

Yeh Sab Itefakat Ka Khel Hai,
Yahi Hai Judayi Yahi Mel Hai,

Main Mud Mud Ke Dekha Kiya Door Tak,
Bani Woh Khamoshi Sada Der Se,

Saja Din Bhi Roshan Huya Raat Bhi,
Bhare Jaam Lahraayi Barsat Bhi.

Sirf Aankho Se Hi Duniya Nahi Dekhi Jaati

Sirf Aankho Se Hi Duniya Nahin Dekhi Jaati,
Dil Ki Dhadkan Ko Bhi Aankh Bana Ke Dekho,

Pathron Mein Bhi Jubaa Hoti Hai Dil Hote Hain,
Apne Ghar Ke Dar O Deewar Saja Kar Dekho,

Faasla Najron Ka Dokha Bhi Ho Sakta Hai,
Chand Jab Chamke Jara Haath Badhakar Dekho,

Woh Sitara Hai Chamkane Do Yun Hi Raaton Mein,
Kya Jaruri Hai Use Jism Banakar Dekho.

Kuchh To Majbooriyan Rahi Hongi

Kuchh to majbooriyan rahi hongi,
Yoon koi bewafa nahin hota.

OLYMPUS DIGITAL CAMERA

Aankho Ki Roshani Se Hai Har Pathar Aaina

Aankho Ki Roshani Se Hai Har Pathar Aaina,
Har Aaine Mein Khud Ki Gunahgar Dekhiye,

Har Aadmi Mein Hote Hain Das Bees Aadmi,
Jisko Bhi Dekhna Ho Kayi Baar Dekhna.

Ek Din Tujhse Milne Jaroor Aaunga

Ek din tujhse milne jaroor aaunga,
Zindgi mujh ko tera pata chaahiye.

Yaad Aata Hai Suna Tha Pahle

Yaad Aata Hai Suna Tha Pahle,
Koi Apna Bhi Khuda Tha Pahle,

Jism Banane Mein Use Der Lagi
Ik Ujala Sa Hua Tha Pahle,

Phool Jo Baag Ki Sobha Thahra,
Meri Aankhon Mein Khila Tha Pahle.

Brick wall for background

Jis Par Humari Aankh Ne Moti Bichhaye

Jis par humari aankh ne moti bichhaye raat bhar,
Bheja wahi kaagaz humne likha kuchh bhi nahin.

Mumkin Hia Safar Ho Aasan Ab Sath Bhi

Mumkin Hai Safar Ho Aasan Ab Sath Bhi Chalkar Dekhein,
Kuchh Tum Bhi Badalkar Dekho Kuchh Hum Bhi Badalkar Dekhen,

Aankhon Mein Koi Chehra Ho Har Pag Pe Ek Pahra Ho,
Jangle Se Chalein Basti Mein Duniya Ko Sambhalkar Dekho,

Do Char Kadam Har Rasta Pahle Ki Tarah Lagta Hai,
Shayad Koi Manjar Badle Kuchh Dur Oh Chalkar Dekhen,

Ab Vakt Bacha Hai Kitna Jo Aur Ladein Duniya Se,
Duniya Ki Nasihat Par Bhi Thoda Sa Amal Karein.

Dushmani Jam Kar Karo

Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaaish rahe,
Jab kabhi hum dost ho jaayen to sharminda na hon.

Jisse Milkar Bhi Na Milane Ki Kasak Baaki Hai

Jis Se Milkar Bhi Na Milane Ki Kasak Baaki Hai,
Usi Anjaan Pahchan Ki Har Mulakat Likho,

Is Kahani Ka Toh Anjaam Wohi Hai Ki Jo Tha,
Tum Jo Chaho Toh Mohabbat Ki Shuruat Likho.

Kabhi Hum Bhi Is Ke Kareeb The

Kabhi hum bhi is ke kareeb the, dilo jaan se badh ke aziz the,
Magar aaj aese mila hai wo, kabhi pahle jaise mila na ho.

Mujhse Bichhad Ke Khush Rehte Ho

Mujhse bichhad ke khush rehte ho,
Meri tarah tum bhi jhute ho.

Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho

Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho,
Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho,

Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal,
Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho,

Riston Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai,
Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho,

Duniya Ke Kahne Sunane Par Insaniyat Na Chhod,
Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho.

Dene Waale Ne Diya Sab Kuch

Dene waale ne diya sab kuch ajab andaaz se,
Saamne duniya padi hai aur utha sakte nahin.

Ajeeb Shakhs Hai Naraaz Hoke Hansta Hai

Ajeeb shakhs hai naraaz hoke hansta hai,
Main chahta hoon khafa ho, to khafa hi lage.

Kuchh Bhi Bacha Na Kahne Ko

Kuchh Bhi Bacha Na Kahne Ko Har Baat Ho Gayi,
Aao Kahin Sharab Piye Raat Ho Gayi,

Suraj Ko Chonch Mein Liye Murga Khada Raha,
Khidki Ke Parde Khinch Diye Raat Ho Gayi,

Woh Aadmi Ab Kitna Bhala Kitna Seedha,
Us Se Bhi Lijiye Aaj Mulakat Ho Gayi,

Raste Mein Woh Mila Tha Main Bach Kar Nikal Gaya,
Uski Fati Kamij Mere Saath Ho Gayi,

Naksha Utha Ke Koi Naya Shahar Dundhiye,
Is Shahar Mein Toh Sabse Mulakat Hi Gayi.

Apna Gham Lekar Na Kahin Aur Jaya Jaaye

Apna Gham Lekar Na Kahin Aur Jaya Jaaye,
Gahr Mein Bikhari Huyi Cheejo Ko Sajaya Jaaye,

Jin Chiragon Ko Hawaon Ka Khouf Nahin,
Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye,

Baag Mein Jaane Ke Aadab Hua Karte Hain,
Kisi Titali Ko Na Phoolo Se Udaya Jaaye,

Khud Khusi Karne Ki Himmat Nahi Hoti Sab Mein,
Aur Kuchh Din Abhi Auron Ko Sataya Jaaye,

Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yun Hi,
Kisi Rote Huye Bachhe Ko Hansaya Jaaye.