Mohsin Naqvi Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Woh Shakhs Jis Ko Samjhane Mein Mujhko

Woh shakhs jis ko samajhane mein mujhko umar lagi,
Bicharr ke mujh se kissi kaa ho na saka hoga.

Dasht-E-Wafa Mein Pyaas Ka

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha,
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha,

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley,
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha,

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi,
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha,

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”,
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha.

Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar

Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla

Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla

Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla

Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla

Mere Qaatil Ko Pukaro Ke Main

Mere Qaatil Ko Pukaro Ke Main Zinda Hoon Abhi,
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ke Main Zinda Hoon Abhi,

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say,
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi,

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay,
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi,

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi,
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi,

Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa,
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi.

Munhasir Ehl-E-Sitam Per Hi

Munhasir ehl-e-sitam per hi nahin hai ‘Mohsin’
Log apnon ki enayat se bhi marr jate hain.

Uski Chahat Ka Bharam Kya Rakhna

Uski chahat ka bharam kya rakhna,
Dasht-e-hijraan mein qadam kya rakhna,

Hanss bhi lena kabhi khud per mohsin,
Har gharri aankh ko namm kya rakhna.

Zindagi Log Jise Marham-E-Gham

Zindagi log jise marham-e-gham jaante hain,
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaante hain..

Tere Hijar Main Aur Mujhe

Tere hijar main aur mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..

Jo Teri Muntazir Theen Woh Aankhein

Jo teri muntazir theen woh ankhein hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko.

Hajoom Mein Tha

Hajoom mein tha, woh khul kar na ro saka hoga,
Magar yakeen hai ke shab bhar na so saka hoga.

Issi Khayaal Se Guzri Hai

Issi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksar,
Ke dard hadh se jo guzre ga muskuraa doon ga..

Sirf Ek Tarq-E-Etaluq Ke Liye

Sirf ek tarq-e-etaluq ke liye,
Tu ne dhoonde hain bahane kya kya..

Khushi Ka Gham Hai Na

Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to,
Bohat udaas guzarti hai zindagi ab to.

Kho Gayi Subah Ki Umeed

Kho gayi subah ki umeed aur ab yoon lagta hai,
Hum nahi hon ge ke jab hon ge ujaale Mohsin..

Bicharr Ke Tujh Se Kisi

Bicharr ke tujh se kisi taur behell na saka,
Nishaaniyan bhi teri mere paas kitni theen..

Phir Jaag Utha Hai Dil Me

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard,
Jee chahta hai phir koi taaza ghazal kahoon..

Ik Junoon Be-Maani

Ik junoon be-maani, ik yaqeen la-haasil,
Kya mila humen mohsin uss ki arzuu kar ke.

Meri Awargi Mai Kuch Dhakal

Meri Awargi Mai Kuch Dhakhal Tumhara Bhi Hai Mohsin,
Tumhari Yad Ati Hai Tu Hame Ghar Acha Nahi Lagtaa.

Zameen Par Chal Na Saka

Zameen pr chal na saka aasmaan se bhi geya,
Kattay jo par to parinda urraan se bhi geya,

Kisi ke hath se nikla hua woh teer hoon main,
Hadaf ko chuu na saka aur kamaan se bhi geya,

Tabaah kar gayin mujhe pakkay ghar ki khawhishen,
Main apne gaaon ke kachay makaan se bhi geya,

Aag main kuuda bhi to kya mila mujhe mohsin,
Usay bacha na saka aur apni jaan se bhi geya.

Thanke Logon Ko Majboori

Thake logon ko majboori mein chalte dekh leta hun,
main bas ki khidkiyon se ye tamaashe dekh leta hun.

Kabhi dil mein udaasi ho toh un mein ja nikalta hun,
puraane doston ko chup se baithe dekh leta hun.

Chhupaate hain bahut woh garmi-e-dil ko magar main bhi,
gul rukh par uddi rangat ke chheente dekh leta hun.

Khada hun yun kisi khaali qile ke sehan-e-veeran mein,
ki jaise main zameenon mein dafeene dekh leta hun.

Munir’ andaaza-e-qaar-e-fanaa karna ho jab mujh ko,
kisi oonchi jagah se jhuk ke neeche dekh leta hun. !!