Bashir Badr Shayari - Hindi Shayari

Parda-E-Noor Manke Chhaye Hain

Parda e noor manke chhaye hain
Aansuon ki tarah machalte khwab,

Bikhre sishon par gir ke toot jaaye
Neend mein nange paanv chalte khwab,

Aisi sunsan dopahar mein kahan
Chand taaron ki tarah chalte khwab,

Bistre e dil par khoon ugalte khwab
Raat bhar karvatein badlate khwab.

Pyar Ki Chhanv Mein Do Dil

Pyar ki chhanv mein do dil jo jara mil baithe
Bajm mein gajle huyi sahar mein afsane chale,

Subah fir apne hi teshe se kiran futhegi
Raat aayi kisi dukhan ke mahak chalein,

Ras mein dubi huyi in aankhon ki jumbish jaise
May se labrej chhalkate huye paimane chale,

Aakhiri baar giribaa gale lag ja mere
Fir mahkate huye rumalon ke najrane chale.

Raat Bhigi Toh Thake Sahar

Raat bhigi toh thake sahar ko yaad aane lage
Neend ke gaanv jo aabad hain palkon tale,

Doctor khwab ke nakhun the halahal mein bujhe
Hasba mamul badi jor se hum cheekh pade,

Jaise sachmuch ho badi neend mein us shokh ki yaad
Aisa seene mein bani leti hai aankhe meeche.

Agar Main Lotna Chahu Toh Kya

Agar main lotna chahu toh kya lout main sakta hu
Woh duniya sath jo mere chali thi ab kahan hogi,

Parinde apni chonchon mein sab taare chhupa lenge
Jawani char din ki chandani hai fir kahan hogi,

Hawayen royengi sar fod lengi in pahadon se
Kabhi jab badlon mein chand ki doli ravaa hogi,

Kise maalun tha hum log ik bistar par soyenge
Hifajat ke liye talvaar apne darmiyan hogi.

Dusron Ko Hamari Sazaayen Na De

Dusron Ko Hamari Sazaayen Na De,
Chandni Raat Ko Badduyain Na De.

Is Tarah Saath Nibhana Hai Dushwar Sa

Is tarah saath nibhana hai dushwar sa
Main bhi talvar sa tu bhi talvar sa,

Khubsurat si paanvo mein janjirein ho
Ghar mein baitha rahu main giraftar sa,

Gudiya bachhe ko becha kharida gaya
Ghar sajaya gaya raat bazar sa,

Aankhon Mein Raha Dil Mein

Aankhon mein raha dil mein utarkar nahi dekha,
Kishti ke musafir ne samundar nahi dekha.

Woh Ek Shakhs Ke Jis Ko

Woh Ek Shakhs Ke Jis Ko Ghazal Bhi Kehte Hai,
Usi Ke Naam Se Jeena, Usi Se Marna Hai.

Baat Kya Hai Ke Mashoor Logon

Baat kya hai ke mashoor logon ke ghar
Mout ka sogh hota hai tyohar sa,

Jina jina utarta hua aaina
Uska lahja anokha khanak dar sa,

Woh aligad ki shamein kahan kho gayi
Ab woh shayar kahan hai tahardaar sa,

Apna range gajal uske rukhsar sa,
Dil chamkane lagta hai rukhe yaar sa.

Wo Bhi Bahut Akela Hai

Wo Bhi Bahut Akela Hai Shayad Meri Tarah,
Uss Ko Bhi Koi Chahne Wala Nahi Mila.

Bhigi Huyi Aankhon Ka Yeh Manjar

Bhigi huyi aankhon ka yeh manjar na milega
Ghar chhod kar mat jaao kahin ghar na milega,

Fir yaad bahut aayegi julfon ki ghani shyam
Jab dhoop mein shaya koi sar par na milega,

Aansu ko kabhi os ka katra na samjhana
Aisa tumhe chahat ka samander na milega,

Use Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbar Nahi

Use Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbar Nahi,
Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai.

Sishe Ka Taaj Sar Par Rakhe Aa

Sishe Ka Taaj Sar Par Rakhe Aa Rahi Thi Raat,
Takraayi Hum Se Chand Sitare Bikhar Gaye,

Chaha Tha Maine Chand Ki Palko Ko Chum Loo,
Hoton Par Mere Subah Ke Taare Bikhar Gaye,

Woh Khusk Hot Ret Se Nam Mangate Rahe,
Jiski Dariya Mein Kayi Dariya Gujar Gaye,

Jhuka Sajar Laraj Uthe Jaise Ki Dar Gaye,
Kuchh Chandani Ke Phool Jami Par Bikhar Gaye.

Wo Maathe Ka Mataala Ho Ki Hontho

Wo Maathe Ka Mataala Ho Ki Hontho Ke Do Misre,
Bachpan Se Ghazal Hi Meri Mehbooba Rahi Hai.

Har Bejuban Gull Mein Mahkane

Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,

Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,

Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum,

Wo Ghazal Waalon Ka Usloob

Wo Ghazal waalon Ka Usloob Samajhte Honge,
Chaand Kehte Hai Kise, Khoob Samajhte Honge.

Sahi Par Ruk Gaye The Jara Der Ke Liye

Sahi Par Ruk Gaye The Jara Der Ke Liye,
Aankhon Se Dil Mein Kitne Samander Utar Gaye,

Jin Par Likhi Huyi Thi Mohabbat Ki Dastaa,
Woh Chak Chak Purje Hawa Mein Bikhar Gaye,

Paya Jo Muskarate Huye Kah Uthi Bahar,
Jo Jakham Pichhle Sal Lagaye Gaye The Bhar Gaye,

Yun Hi Be-Sabab Na Phira Karo

Yun Hi Be-Sabab Na Phira Karo,
Koi Shaam Ghar Bhi Raha Karo,
Wo Ghazal Ki Sachhi Kitaab Hai,
Use Saari Raat Padha Karo.

Dil Chhalak Utha Aankh Bhar Aayi

Dil chhalak utha aankh bhar aayi
Aaj t.v par woh khabar aayi,

In dukho mein teri yaad bhi kya
Jaisi titali pahad par aayi,

Apni maa ki tarah udas udas
Beti shadi ke baad ghar aayi,

Ab toh main bhi najar nahi aata
Ya khuda konsi dagar aayi,

Tumne jo kiy asarafat mein
Woh nidamat bhi mee sar aayi…

Pasina Band Kamre Ki Umas Ka Jajb

Pasina band kamre ki umas ka jajb hai usmein
Hamare touliye mein dhoop ki khusboo kahan hogi,

Kisi gumnam pathar par bahut se naam likh doge
Toh kurbani hamari is tarah se javidaan hogi,

Jamine toh meri apno ne sari ganva di hain
Magar yeh ek muthi khak khud apna nishaa hogi,

Samander buddhe ho jaayenge aur ek fahisha machhli
Hamare shahilon aur jamgalon ki hukmaran hogi.