Ek ajab sa ehsaas ho tum,
kitni door ho phir bhi pas ho tum,
dil lagane ko to bahut mile hume,
par un sabse khas ho tum.
Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga,
Tere Sath Guzra Har Lumha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Bhulane Ki Koshish Ki,
Tu Dil Ke Or Kareeb Aane Laga.
Dil Tota Hai Mera Par Aas Nahi,
Us Ka Ehsas Hai Par Pas Nai,
Judai Ka Dard Zaroor Hai Hum Ko,
Lakin Itna B Khas Nai.
Ek Karb-E-Wafa Musalsal Mujhe Sone Nahi Deta,
Dil Sabar Ka Aadi Kabhi Rone Nahi Deta,
Mein Uska Hoon Yeh Raaz Tu Woh Jaan Gaya Hai,
Wo Kis Ka Hy Ehsaas Ye Hone Nahi Deta.
Zauq-E-Janoon Ko Had Se Guzar Jane Do,
Wo Smaitney Aye Ga Humain Bikhar Jane Do,
Abhi Dastras Mai Hun To Ehsas Nahi Usko,
Ro Ro Ke Pukarey Ga Humain Mar Jane Do.
Apki Dosti Pe Naaz Hai Humein
Kal Tha Jitna Bharosa Utna Aj Hai Humein!
Dost Woh Nahi Jo Khushi Mein Sath De
Dost Wahi Jo Har Pal Apnepan Ka Ehsas De
Toot kar chahne wale aaj bhi tujhe chahte hain,
Ye or baat hai Tujhe ehsaas Na kal tha, Na aaj hai.
Ek aas, ek ehsaas,
Meri soch aur bus tum,
Ek sawal, ek majaal,
Tumhara khayal or bs tum.
Humari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho,
Tumhare Hr Ghum Ka Dard Hamara Ho,
Mar Bhi Jayein Tu Humein Koi Ghum Nhi,
Bus Aakhri Waqt Saath Tumhara Ho.
Dil mai Basa ehsaas Tumhara,
Aankho me Rehta he Chehra Tumhara,
Bhool na Payenge Kabhi Hum Tumko,
Saya ban gaye ho tum to Humara.