Jeene Ki Khwahish Mein Har Roz Marte Hain,
Wo Aaye Na Aaye Hum Intezar Karte Hain,
Jutha Hi Sahi Mera Yaar Ka Vada,
Hum Sach Mankar Aitbaar Karte Hain.
Badi Mushkil Se Dil Maayoos Hota Hai Muhabbat Mein,
Kiya Hai Main Ne Ek Paimaan-Shikan Ka Aitbaar Aksar.
Tumhaare Ahd-E-Vafa Ko Main Ahd Kya Samjhoon,
Mujhe Khud Apni Muhabbat Ka Aitbaar Nahin.
Kuch Main Bhi Thak Gaya Use Dhondte Hue,
Kuch Zindagi Ke Pas Bhi Muhlat Nahi Rahi,
Us Ki Har Aik Ada Se Jahlakne Laga Khloos,
Jab Mujh Ko Aitbar Ki Aadat Nahi Rahi.
Koi Aj Tak na Samajh Saka Yeh Usool Gulshan-e-Zeest ka, Wohi Phool Nazar-e-Khizan Howa Jise Aitbaar-e-Bahar Tha?
Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada Tu Kahin Kam Milenge,
Aitbar Zara Soch Samajh Kar Karna,
Zaroori Nhi Har Jagah Tumhein Hum Milenge.
Ghazab Kiya Tere Vaade Pe Aitabaar Kiya
Tamaam Raat Qayaamat Ka Intezaar Kiya
Fasaana-E-Shab-E-Gham Un Ko Ek Kahaani Thi
Kuchh Aitabaar Kiya Aur Kuchh Na Aitabaar Kiya
Ye Dil Ko Taab Kahaan Hai Ke Ho Maalandesh
Unhon Ne Waada Kiya Ham Ne Aitabaar Kiya
Kuchh Aage Daavar-E-Mahashar Se Hai Ummeed Mujhe
Kuchh Aap Ne Mere Kahne Ka Aitabaar Kiya
Har Baat Jante Hue Bhi Dil Mana Na Tha,
Hum Janey Aitbar Ke Kis Marhaley Mein Tha.