Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai,
Her Kisi Ko Kisi Na Kisi Ki Talash Hai,
Kisi Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi,
Aur Kisi Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi
Ruthi jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gam to seh lenge hum,
Bus aap rehna sath hamare,
Aasuo mai bhi muskura lenge hum
“मुझे तैरने दे या फिर बहना सिखा दे,
अपनी रजा में अब तू रहना सिखा दे,
मुझे शिकवा ना हो कभी भी किसी से,
हे ईश्वर !!
मुझे सुःख और दुःख के पार जीना सिखा दे| “
Na Jane Zindagi Main Kitne Gam Aate Hain,
Aankho Main Aansu Bhar Aate Hain,
Ye Aansu Sookh Bhi Nahi Pate,
Ki Doosre Gam Aankho Ko Gila Kar Jate Hain
Seekh raha hu dheere dheere,
Iss duniya k rivaaz,
Jisse matlab nikal jaye,
Usey zindagi se nikaal do
Rashme ulfat ko nibhaye to nibhaye kaise,
Har taraf aag hai daaman ko bachaye kaise,
Bojh hota jo gamo ka to utha bhi lete,
Zindagi bojh bani to fir uthaye kaise
कागज़ के नोटों से आखिर
किस किस को खरीदोगे,
किस्मत परखने के लिए यहाँ आज भी
सिक्का ही उछाला जाता है
Bahut Kuchh Humne Khoya,
Aur Bahut Kuchh Paaya,
Kasam Se Iss Zindagi Ne Humein Bahut Hasaaya,
Bahut Rulaaya,
Phir Bhi Shikwa Nahi Iss Zindagi Se Hume Koi,
Kyunki Isi Ne Kuchh Haseen Dosto Se Bhi Milaaya
समझ ना आया ऐ जिंदगी तेरा ये फलसफा,
एक तरफ कहती है सबर का फल मीठा होता है
और दूसरी तरफ कहती है
वक़्त किसी का इंतजार नही करता
Bahut Pehle Hi Unn Kadmo Ki Aahat Jaan Lete Hai,
Tujhe Aey Zindagi, Hum Door Se Hi Pehchaan Lete Hai