Thakan Se Raah Mein Chalna Muhaal


Thakan se raah mein chalna muhaal bhi hai mujhe,
kamaal par bhi tha main hi zawaal bhi hai mujhe.

Sadak pe chalte hue ruk ke dekhta hun main,
yahin kahin hai tu ye ehtimaal bhi hai mujhe.

Ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak,
main khwaab mein toh hun lekin khyaal bhi hai mujhe.

Ussi ke lutf se marne se khauf aata hai,
ussi ke dar se ye jeena muhaal bhi hai mujhe.

Sawaad-e-shaam-e-safar hai jalaa jalaa sa ‘munir
khushi ke saath ajab sa malaal bhi hai mujhe.

Leave a comment