Shayari About Tears - Page 2 - Hindi Shayari

Bhar Aayi Meri Aankhein

Bhar aayi meri aankhein jab uska naam aaya,
Ishq naakam sahi fir bhi bahut kaam aaya,
Humne mohabbat mein aisi bhi guzaari raate,
Jab tak aansu na bahe dil ko na aaraam aaya…

Bhar Aayi Meri Aankhein

Kismat Ruk Gayi

Kismat ruk gayi dil ke taar toot gaye,
Wo bhi ruth gaye sapne bhi toot gaye,

Khajane mein sirf do aansu,
Jab yaad aayi aapki tho wo bhi lut gaye…

Kismat Ruk Gayi

Saath Seta Jo Samay

Saath Deta Jo Samay Aap Hamare Hote,
Hum Bhi Doosro Ki Tarah Aapke Pyare Hote,
Ye Mere Aansu Jinhe Ponchhne Vala Bhi Nahi Koi,
Aanchal Inhe Milta To Sitare Hote.

Saath Seta Jo Samay

Aansuon Ko Bahut Samjhaya

Aansuon Ko Bahut Samjhaya,
Ki Tanhai Mein Aaya Karo,
Is Tarah Mahfil Mein,
Hamara Majak Mat Udaya Karo,
Is Par Aansu Tadap Kar Kahte Hain,
Itne Logon Mein,
Aapko Tanha Paate Hain,
Isiliye Chale Aate Hain..

Aansuon Ko Bahut Samjhaya

Aansu Baha Ke Apna Daaman

Aansu Baha Ke Apna Daaman Jo Main Nichodon,
Mehandi Mila Ke Apne Hathon Mein Tum Lagana,
Doli Mein Tum Utho Jab To Aaye Khayaal Mera,
Aai Hai Mout Mujhko Tum Aisa Khayal Karna…

Aansu Baha Ke Apna Daaman

Wo Saagar Nahi Aansu The Mere

Wo Saagar Nahi Aansu The Mere,
Jis Par Wo Kashti Chalaate Rahe,
Manzil Mile Unhe Yeh Aarzu Thi Meri,
Is Liye Hum Aansu Bahaate Rahe…

Wo Saagar Nahi Aansu The Mere

Pani Na Ho To

Pani Na Ho To Nadiyan Kis Kam Ki,
Aansu Na Ho To Aankhen Kis Kam Ki,
Dil Na Ho To Dhadkan Kis Kam Ki,
Agar Main Apko Yaad Na Karun To,
Hamari Yeh Dosti Kis Kam Ki…

Pani Na Ho To

Chhuri Dil Pe Chalne Lagi Hai

Chhuri Dil Pe Chalne Lagi Hai,
Jab Hum Naam Unka Batane Lage Hain,

Qatal Kiya Hai Unhone Hamara,
Ab Hamein Hi Woh Qaatil Batane Lage Hain,

Qatal Kar Ke Bhi Sukun Na Aaya Unhe,
Daag Bewafai Ka Daaman Pe Lagane Lage Hain,

Daag Aansu Se Dhoya Jab Hamne,
Wo Keemat Aansuo Ki Chukane Lage Hain…

Chhuri Dil Pe Chalne Lagi Hai

Palko Mein Aansu Aur Dil Mein

Palko Mein Aansu Aur Dil Mein Dard Soya Hai,

Hasne Walon Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai,

Yeh To Bas Wohi Jan Sakta Hai,

Jisne Zindagi Mein Kisi Ko Pane Se Pahle Khoya Hai..

Palko Mein Aansu Aur Dil Mein

Dekh Kar Tanha Mujhse

Dekh Kar Tanha Mujhse Pucha Bahaaron Ne,

Kaha Gaya Tera Woh Hamsafar Tujhe To Bada Naaz Tha Uspar,

Yeh Dekh Kar Main Chup Rahaa,

Par Mere Aansuon Ne Jawab Diya Milna Kismat Bichhadna Naseeb Tha,

Woh Mujhse Itna Door Ho Gaya Jitna Woh Mere Kareeb Tha…

Dekh Kar Tanha Mujhse

Aansu Aa Jaate Hain

Aansu Aa Jaate Hain Rone Se Pehle,
Khwab Toot Jaate Hain Sone Se Pehle,
Log Kahte Hain Mohabbat Gunaah Hai,
Kash Koi Rok Leta Yeh Gunaah Karne Se Pehle..

Aansu Aa Jaate Hain

Aansu Jo Bah Rahe Hain

Aansu Jo Bah Rahe Hain Inhe Bahne Do,
Yeh Keh Rahe Hain Dil Ki Baat Kehne Do,

Bahut Bewafa Ho Tum ,Yeh unko Hai Malum,
Tum Wafa Ki Baat Apne Tak Hi Rehne Do,

Mila Toh Kya Mila Tumhe Chahne Ke Baad,
Bas Dukh Hi Seh Rahe Hain Hamein Sehne Do,

Tumne Toh Keh Dala Haal-E-Dil Apna,
Ab Mujhko Bhi Apna Haal-E-Dil Kehne Do..

Aansu Jo Bah Rahe Hain

Teri Dosti Ne Mujhe

Teri Dosti Ne Mujhe,
Dard Sahna Sikha Diya,

Marti Huyi Rooh Ko Jeena Sikha Diya,
Kya Kahun Kya Hai Tera Saath Mere Liye,

Tere Saath Ne,
Mere Aansuo Ko Muskurana Sikha Diya…

Teri Dosti Ne Mujhe

Har Ek Jajbaat Ko

Har Ek Jajbaat Ko Zubaan Nahin Milati,
Har Ek Aarju Ko Dua Nahi Milati,

Mohabbatt Banaye Rakho,
To Duniya Hai Saat Tumhaare,

Varna Aansuon Ko To Aankho,
Mein Bhi Jagah Nahin Milati…

Har Ek Jajbaat Ko

Kareeb Se Niklana Bhi Ab

Kareeb Se Niklana Bhi Ab Ganvara Nahin Unko,

Itni Nafrat Unki Ya Badnasibi Hamari Hai,

Tumhe Badanam Nahin Hone Denge Aansu Pee Lenge,

Mohabbat Ki Hai Hamne Zindagi Kya Cheej Hai,

Kareeb Se Niklana Bhi Ab

Dupatta Bhi Seene Se

Dupatta Bhi Seene Se Tere Aise Chipak Jata Hai,
Fir Jeete Huye Insaan Ki Kya Haalat Hogi Sanam,

Tumhe Paane Ke Liye Kya Kya Nahin Kiya Maine,
Kitne Din Raat Teri Gali Mein Gujaar Diye Maine,

Thokar Toh Khayi Humne Unko Na Pahchane,
Woh Bewafa Nikle Jo Ho Gaye Begane,

Jab Yaad Tumhaari Aati Hai Toh Dil Tham Leta Hu,
Aansu Tapak Padte Hain Jab Tumhara Naam Leta Hu…..

Dupatta Bhi Seene Se

Jamane Ki Najro Mein

Jamane Ki Najro Mein Kabhi Mujrim Na Ban Jaana,
Khabar Rakho Jamane Ki Raho Tum Bekhabar Hokar,

Hamein Duniya Ke Jhamelo Ka Koi Ahsas Nahin,
Ek Kone Mein Alag Sabse Juda Baithe Hain,

Mubarak Hai Jo Dil Mein Doosro Ka Dard Rakhte Hain,
Aansu Aankh Mein Aur Lab Pe Aahen Sard Rakhte Hain…

Jamane Ki Najro Mein

Dar Dar Se Thokar Khane Ke Baad

Dar Dar Se Thokar Khane Ke Baad,
Hum Lahu Di Ka Bahate Rahe,

Tum Fir Bhi Na Khush Huye Dost,
Hum Har Rista Thukraate Rahe,

Jisne Hamein Apnana Chaha,
Har Chahat Ko Hum Thukrate Rahe,

Vaqt Aaya Aur Chala Gaya,
Hum Kismat Pe Aansu Bahate Rahe…

Dar Dar Se Thokar Khane Ke Baad

Jab Bhi Pyas Lagti Hai Hamein

Jab Bhi Pyas Lagti Hai Hamein,
Toh Apne Aansu Hi Pi Lete Hain,

Mar Jaate Hum Toh Jane Kab Se,
Teri Yaadon Ke Sahare Ji Lete Hain,

Teri Yaadon Ne Jab Jab Mujhko Sataya Hai,
Sitam Maine Apne Hi Jism Pe Dhaya Hai,

Hakikat Yeh Thi Bana Woh Hi Mout Ka Karan,
Jise Samjha Khuda Ne Mere Liye Banaya Hai…

Jab Bhi Pyas Lagti Hai Hamein

Jakham Kuchh Aise The Dil Par

Jakham Kuchh Aise The Dil Par,
Jo Sareaam Sabko Dikhaye Na Gaye,

Hamari Ki Gayi Wafa Ke Badle,
Us Bewafa Se Kabhi Chukaye Na Gaye,
***
Jab Se Bichhda Hai Sanam Hamara,
Dil Nahin Karta Ab Jine Ko,

Saath Lekar Chala Gaya Khusiyan,
Bas De Gaya Hamein Aansu Pine Ko…

Jakham Kuchh Aise The Dil Par