Tasveer Shayari - Hindi Shayari

Meri Aankhon Main Ansu

Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote,

Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,

Na tarapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,

Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….

Meri Aankhon Main Ansu

Likhna To Tha Ke

Likhna to tha ke khush hoon tere bager bhi,
Aansuu magar kalam se pehle hi girr gaye…

Likhna To Tha Ke

Aansuu Bhi Meri Aankh Ke

Aansuu bhi meri aankh ke ab khusshk ho gaye,
Tu ne mere khuloos ki keemat bhi cheen li..

Aansuu Bhi Meri Aankh Ke

Hasne Ki Justju Mein

Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko,
Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye!!

Hasne Ki Justju Mein

Meri Tasveer Par Har Koi

Meri Tasveer Par Har Koi Jawan Nisaar Ho Gaya,
Dil Kya Hai Jaan Lutane Ko Bhi Taiyaar Ho Gaya,
Bohat Aasan Hai Husn Ka Aashiq Ho Jana Sanam,
Par Woh Kaiz Tha Jo Kali Laila Ka Yaar Ho Gaya..!!

Meri Tasveer Par Har Koi

Taqdeer Ke Aaine Me

Taqdeer ke aaine me meri tasveer kho gyi,
Aaj hamesha ke liye meri rooh so gyi,
Mohabbat karke kya mila mujhe,
Woh kal meri thi..
Aaj kisi aur ki ho gyi.

Taqdeer Ke Aaine Me

Meri Aankhon Mein Joh

Meri Aankhon Mein Joh Tasveer Basi Hai
Us Tasveer Mein Hi Meri Taqdeer Basi Hai
Kis Tarah Judaa Kar Dun Usko Apni Aankhon Se
Mohabbat Ki Duniya Mujhe Ussi Mein Hi To Mili Hai

Meri Aankhon Mein Joh

Bichad Ke Tumse Zinda Hu

Bichad Ke Tumse Zinda Hu..Meri Taqdeer Toh Dekho,
Kabhi Aa Kar Mere Halaat Ki Tasveer Toh Dekho,
De Kar Pyar Ki Daulat Khareede Khoon Ke Aansoo,
Mili Jo Ishq Mein Humko Jageer Toh Dekho.

Bichad Ke Tumse Zinda Hu

Ek Ek Tara Jod Teri

Ek-Ek Tara Jod Teri Tasveer Banai Hai,
Koi Dekh Na Le Isliye Dil Me Chhipai Hai,
Dil Se Tu Meri Nas-Nas Me Samai Hai,
Iss Liye Teri Tasveer Hum Ne Dil Me Basai Hai.

Ek Ek Tara Jod Teri

Yoon Badi Der Se

Yoon Badi Der Se Paimaana Liye Baitha Hoon,
Koi Dekhe Vo Ye Samajhe Piye Baitha Hoon,
Zindagi Bhar Ke Liye Rooth Ke Jaane Waale,
Main Abhi Tak Tasveer Liye Baitha Hoon.

Yoon Badi Der Se

Yaad Karne Ke Liye

Yaad Karne Ke Liye Koi Cheez Chahiye
Aap Nahin Tu Aapki Tasveer Chahiye

Pr Apki Tasveer Humara Dil Belha Nahi Sakti
Kyunke Woh Apki Tarha Muskura Nahi Sakti.

Yaad Karne Ke Liye

Aadmi Kya Hai Gujarte Waqt Ki

Aadmi Kya Hai Gujrate Waqt Ki Tasveer Hai
Jane Wale Ko Sada Dekar Bula Sakte Nahi

Shaher Mein Rehte Hue Humko Zamana Ho Gaya
Kaun Rehta Hai Kahan Kuch Bata Sakte Nahi

Aadmi Kya Hai Gujarte Waqt Ki

Teri Yaadon Ke Bikhre Tukde Chunkar

Teri Yaadon Ke Bikhre Tukde Chunkar
Guzre Lamho Ki Tasveer Bana Loon
Apni Har Khushi Tere Naam Likh Ke
Tere Dukhon Ko Apni Taqdeer Bana Loon…

Teri Yaadon Ke Bikhre Tukde Chunkar

Teri Tasveer Ko Haathon Mein

Teri Tasveer Ko Haathon Mein Liye Betha Hoon
Aur Tere Zikr Ko Baaton Mein Liye Betha Hoon

Nind Aati Hai To Palkaon Se Palat Jaati Hai
Tera Armaan Jo Raaton Mein Liye Betha Hoon

Ab To Diwaana Samajhte Hain Mujhe Saare Log
Tere Kalmon Ko Namazon Mein Liye Betha Hoon

Kab Milaega Khuda Ham Ko Ye Maloom Nahin
Bas Tujhe Apni Duaon Mein Liye Betha Hoon..

Teri Tasveer Ko Haathon Mein

Tasveer Ko Teri Banate Hain

Tasveer Ko Teri Banate Hain Aankhon Mein,
Khushboo Ko Teri Basate Hain Sanson Mein,
Jab Se Mohabbat Huyi Hai Tumse Jaane Tamanna,
Har Khwab Ko Teri Yaadon Se Sajate Hain Raaton Mein.

Tasveer Ko Teri Banate Hain

Voh Ankhon Ke Samne Rehne Lga

Voh Ankhon ke Samne rehne lga hai aajkal
Kyun yaad aane lga hai pal pal
Kyun khoyi khoyi si ye Nazar hai
Pyaara Lagne lga yeh lamba safar
Waqt ka Na hosh hai Na darr kisi cheez ka
Rub-a-ru huyi, intezaar tha Jis tasveer ka…

Voh Ankhon Ke Samne Rehne Lga

Hum Bhi Chaahenge Tujhe

Hum Bhi Chaahenge Tujhe Heer Ki Tarha,
Rab Se maangenge Tujhe Kisi Fakeer Ki Tarha,
Rang Naa Laayi Agar Hamari Ye Duayen,
To Phir Hum Reh Jaayenge Be-rang Kisi Tasveer Ki Tarha…

Hum Bhi Chaahenge Tujhe

Haal Dil Ka Likhati Hu

Haal Dil Ka Likhati Hu,
Kar Sako Toh Yakin Kar Lo,

Main Patr Tumhaare Lotati Hu,
De Sako Toh Apni Tasveer De Do,

Jab Shaadi Tumhari Hogi Toh,
Kyu Patr Likha Tumne Mujhko,

Main Kitna Badkismat Hun,
Kyu Yaad Dilaya Tumne Mujhko…

Haal Dil Ka Likhati Hu

Mere Saamne Kar Diye

Mere saamne kar diye meri tasveer ke Tukde-Tukde..
Pata chala mere peechhe wo unhe jod kar bahut Roye

Mere Saamne Kar Diye

Zindagi Aur Main Do Alag

zindagi aur main do alag toh nahi
maine sab phool kaante isi ki liye

sahar mein ab koi mera dushman nahi
abko apna liya maine tere liye

jahan mein titliyan udd rahi hain bahut
koi dhaga nahin bandhne ke liye

ek tasveer gajlon mein aisi bani
agle pichhle jamano ke liye…

Zindagi Aur Main Do Alag