Shayari About Mehandi - Hindi Shayari

Wo Aankhon Mein Kaajal

Wo Aankhon Mein Kaajal Wo Baalon Mein Gajraa
Hatheli Pe Us Ke Hina Maheki Maheki

Wo Aankhon Mein Kaajal

Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe

Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qaatil Ne Kahaa
Kuchh Ye Mehndi Nahin Meri Ke Mitaa Bhi Na Sakoon

Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe

Tere Tohfe To Sab

Tere Tohfe To Sab Ache Hain Magar Mauj-E-Bahaar
Ab Ke Mere Liye Khushboo-E-Hina Aai Ho

Tere Tohfe To Sab

Hum Chahat Ke Afsaane

Hum Chahat Ke Afsaane Likhtey Rahe…
Woh Bhi Humein Door Se Dekhte Rahe…
Jab Humne Izhaar Karne Ko Hath Thama…
To Mehndi Se Ranga Unka Hath Paya…

Hum Chahat Ke Afsaane

Gulaabi Paanv Mere

Gulaabi Paanv Mere Champai Banaane Ko
Kisi Ne Sahan Mein Mehndi Baadh Ugaai Ho

Gulaabi Paanv Mere

Hatheli Pe Jise Likhti Mitati

Hatheli pe jise likhti-mitati ho Wo nam mera hai,
Mehndi jis ke nam ki rachati ho Wo nam mera hai,
Jo juda he har pal tere namse Wo nam mera hi hai.

Hatheli Pe Jise Likhti Mitati

Kya Surma Bhari Aankhon Se

Kya Surma Bhari Aankhon Se Aansoo Nahin Bahte,
Kya Mehndi Lage Haathon Se Maatam Nahin Hotaa.

Kya Surma Bhari Aankhon Se

Kaun Uthayega Tumhari

Kaun uthayega tumhari ye zafa mere baad,
Yad ayegi bahut meri wafa mere jane ke baad,
Shukra hai mahobat ne kiya itna range asar,
Teen din usne na lagai mehndi mere jaane ke baad.

Kaun Uthayega Tumhari

Na Mere Zakhm Khile Hain

Na Mere Zakhm Khile Hain Na Teraa Rang-E-Hina,
Mausam Aaye Hi Nahin Ab Ke Gulaabon Vaale.

Na Mere Zakhm Khile Hain

Dosti Or Mehandi Me

Dosti Or Mehandi Me Khas Farak Nahi Hota,
Dono Ek Kaam Kar Jati Hai,
Zindgi Main Khushiyo Ke Rang Deti Hai,
Or Khud FANNAH Ho Jaati Hai.

Dosti Or Mehandi Me

Chand Maasoom Se Patton

Chand Maasoom Se Patton Kaa Lahoo Hai ‘Faakhir’
Jis Ko Mahaboob Ke Haathon Ki Hina Kahte Hain.

Chand Maasoom Se Patton

Tumhari Thi Shararat

Tumhari Thi Shararat Mehndi Se Hatheli Pe Naam Likhna,
Aur Mujhe Ruswa Kar Diya Tum Ne Yunhi Khailte Khailte.

Tumhari Thi Shararat

Woh Aaye Mehfil Main Mere

Woh Aaye Mehfil Main Mere, Samne Baithe Hain,
Apne Hathon Mein Mera Dil Dabaye Baithe Hain,
Humne Unse Pucha Kya Hai Tumhare Hathon Main,
Muskura Ke Boole Jaan Mehndi Lagaye Baithe Hain !!

Woh Aaye Mehfil Main Mere

Unke Hathon Pe Mehandi

Unke hathon pe mehandi ka hamain ye faida hua
Ke raat bhar un ke chere se zulfain hum hatate rahe .

Unke Hathon Pe Mehandi

Kya Hua Jo Usne Racha

Kya hua jo usne racha li mehndi,
Hamm bhi ab to sehra sajayenge.
Mujhe pata tha wo apne naseeb main nahi hai,
Ab uski chotti bahen ko fasayenge.

Kya Hua Jo Usne Racha

Uski Aankho Me Mohabbat

Uski Aankho Me Mohabbat Ki Chamak Aaj Bhi Hai..
Haala ki Use Meri Mohabbat Par Shak Aaj Bhi Hai..
Naaav Me Baith Kar Dhoye The Haath Usne Kabhi..
Poore Taalab Me Mehendi Ki Mehak Aaj Bhi Hai ..

Uski Aankho Me Mohabbat

Khuda-E-Rehmat Tu Mera

Khuda-e-rehmat tu mera ho jaye,
Warna anjaam mera bahut bura hoga,
Rachaye jo agr tune mehandi se hath apne,
Wo mehandi nahi mere dil ka khoon hoga.

Khuda-E-Rehmat Tu Mera

Wo Jo Sar Jhuka Ke

Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain,
Hamara Dil Churaye Baithe Hain,
Humne Unse Kaha Hamara Dil Hume Lauta Do,
To Bole Hum To Hatho Mein Mehendi Laga Ke Baithe Hain.

Wo Jo Sar Jhuka Ke