Shayari About Kismat - Page 2 - Hindi Shayari

Palko Ki Zanjeero Mein

Palko Ki Zanjeero Mein Teri Tasveer Chupai,
Hatho Ki Lakiro Mein Teri Taqdeer Sajai.

Na Koi Kisi Ke Pass Hota Hai

Na Koi Kisi Ke Paas Hota Hai
Na Koi Kisi Ke Dur Hota Hai
Pyar Khud Chalkar Aata Hai
Jab Koi Kisi Ka Naseeb Hota Ha

Na Koi Kisi Ke Pass Hota Hai

Apne Ghamon Ki Yun

Apne Ghamon Ki Yun Numaish Na Kar
Apne Naseeb Ki Yun Aazmaish Na Kar
Jo Tera Hai Tere Dar Par Khud Aayega
Roz Usay Paane Ki Khwahish Na Kar

Apne Ghamon Ki Yun

Khush Naseeb Woh Nahin

Khush Naseeb Woh Nahin Jinka Naseeb Achha Hai,
Khush Naseeb Woh Hai Jo Apne Naseeb Par Khush Hai.

Khush Naseeb Woh Nahin

Khwab Sach Ho Tu

Khwab Sach Ho Tu Tabir Bhi Mil Jati Hai,
Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai,
Kuch Maango Agr Tu Maango Sachey Dil Se,
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai.

Khwab Sach Ho Tu

Tanha Tha Is Duniya

Tanha Tha Is Duniya Ki Bheer Main,
Socha Koi Nahin Mere Taqdeer Main,
Aik Din Aap Ne Dosti Ka Hath Barhaya,
To Laga Kuch To Khas Tha Hato Ki Lakeer Main.

Tanha Tha Is Duniya

Tera Na Milna Mera Naseeb

Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Ae Sanam
Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna

Tera Na Milna Mera Naseeb

Qismat Rooth Gayi

Qismat Rooth Gayi,
Dil K Taar Toot Gaye,
Aap Jo Hum Say Rooth Gaye,
Sapnay Bhi Saray Toot Gaye,
Baki Rahe Khazaney Main Do Ansu,
Yaad Aap Ki Ayai,
To Woh Bhi Laut Gaye.

Qismat Rooth Gayi

Qismat Main Jo Likha Hai

Qismat Main Jo Likha Hai Wo Aakhir Hokar Rehta Hai
Chand Lakeeren Uljhi See Or Hatho’n Main Kya Rakha Hai

Qismat Main Jo Likha Hai

Na Koi Kisi Ke Paas

Na Koi Kisi Ke Paas Hota Hai
Na Koi Kisi Ke Dur Hota Hai
Pyar Khud Chalkar Aata Hai
Jab Koi Kisi Ka Naseeb Hota Hai

Na Koi Kisi Ke Paas

Shama-E-Tamanna Jawaan

Shama-E-Tamanna Jawaan Aaj Bhi Hai,
Har Hasrat Lekin Bezuban Aaj Bhi Hai,
Manzilon Ko Nahi Naseeb Mere Kaafile To Kya,
Rahon Pe Mere Kadmon Ke Nishaan Aaj Bhi Hain.

Shama-E-Tamanna Jawaan

Kismat Do Pal Mein Badal

Kismat Do Pal Mein Badal Sakta Hai INSAN
Per Jo INSAN Ko Badal De Wo Kismat Nahin Hoti
Apni Kismat Pe Rota Wohi Shakhs Hai Jisko
Sajdon Me Rone Ki Adat Nahin Hoti

Kismat Do Pal Mein Badal

Maut Ka Kya Kasur

Maut Ka Kya Kasur Gar Zindagi Bewafa Nikle,
Kuch Pal Ruk Kr Fir Chal Nikle,
Unse Kya Kahe Wo To Sache Hai,
Jab Meri Taqdir Hi Mujse Khafa Nikle.

Maut Ka Kya Kasur

Guzri Hui Zindagi Ko

Guzri Hui Zindagi Ko Kabhi Yaad Naa Kar,
Taqdeer Mein Jo Likha Hai Uski Fariyaad Naa Kar,
Jo Hona Hai Vo Ho Kar Rahega,
Tu Fikr Mein Apni Hansi Barbaad Naa Kar.

Guzri Hui Zindagi Ko

Milna Itifaak Tha

Milna Itifaak Tha Bicharna Naseeb Tha
Wo Utna He Door Ho Gaya Jitna Kareeb Tha
Hum Usko Dekhne K Liye Taraste He Rahe
Jis Shaks Ki Hatheli Pe Hamara Naseeb Tha

Milna Itifaak Tha

Tujhe Mila Nahi Humsa Koi

Tujhe Mila Nahi Humsa Koi,
Humein Mila Nahi Tujhsa Koi
Ye To Kismat Ki Baat Hai,
Ki Humari Nazar Me Is Kadar Basa Nahi Koi…

Tujhe Mila Nahi Humsa Koi

Ek Mehfil Mein Do

Ek mehfil mein do taqdeeron ka karaar kho gaya,
Na chahte huye bhi ishq ko husn ka deedar ho gaya,
Is kadar shama se parwane par vaar ho gaya,
Usi pal shola shabnam par nisar ho gaya.

Ek Mehfil Mein Do

Mujhe Maloom Hai Mera

Mujhe Maloom Hai Mera Mukadar Tum Nahi Lekin,
Meri Takdeer Se Chup Kar Mere Ek Baar Ho Jao.

Mujhe Maloom Hai Mera

Mere Naseeb Main Tu

Mere Naseeb Main Tu Nahin Shayad,
Kyun Khel Aisa Taqdeer Ka Hota Hai,
Lakeerain Nahin Milti Hain Unse,
Jin Se Ye Dil Milta Hai,
Dunya Kehti Hai Chand Lamhon Ka Saath Tha,
Ye Dil Jaanta Hai Ye Umr Bhar Ka Ehsaas Tha !!!

Mere Naseeb Main Tu

Kuch Pathro Me Phul

Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai
Kuch Lasho Ko Kafan Nasib Nahi Hota
To Kuch Lasho Pr Tajmahal Ban Jate Hain.

Kuch Pathro Me Phul