Shayari About Kismat - Hindi Shayari

Zindagi Tu Hi Bta

zindagi tu hi bta tera irada kya hai?
mai kismat banati hun,bigad jati hai…
dekhte dekhte dunia hi ujad jati hai…
meri kashti tera toofaan se waada kya hai?
zindagi tu hi bta tera iraada kya hai.?

Zindagi Tu Hi Bta

Bichad Ke Tumse Zinda Hu

Bichad Ke Tumse Zinda Hu,
Meri Taqdeer Toh Dekho,
Kabhi Aa Kar Mere Halaat Ki Tasveer Toh Dekho,
De Kar Pyar Ki Daulat Khareede Khoon Ke Aansoo,
Mili Jo Ishq Mein Humko Jageer Toh Dekho.

Bichad Ke Tumse Zinda Hu

Kon Kehta Hai Ki

Kon Kehta Hai Ki Aadmi Apni Kismat Khud Likhta Hai…
Agar Yeh Sach Hai Tu Kismat Mein Dard Kon Likta Hai?

Kon Kehta Hai Ki

Bahte Ashkon Ki Zubaan

Bahte Ashkon Ki Zubaan Nahi Hoti,
Lafzon Mein Mohabbat Bayaan Nahi Hoti,
Mila Hai Pyaar To Kadar Karo,
Kismat Har Kisi Par Meherbaan Nahi Hoti.

Bahte Ashkon Ki Zubaan

Khwab Sach Ho To

Khwab Sach Ho To Tabir Bhi Mil Jati Hai
Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai
Kuch Maango Agr Tu Maango Sachey Dil Se
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai

Khwab Sach Ho To

Badalne Wale Toh Har Cheez

Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain,
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain,
Tum Toh Mere Chaar Ansu Na Badal Sake,
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain .

Badalne Wale Toh Har Cheez

Tumse Nahi,Tanhai Se Darte Hain

Tumse Nahi, Tanhai Se Darte Hain
Pyaar Se Nahi, Judaai Se Darte Hain
Tumhe Paana Ya Khona To Naseeb Hai
Lekin Kismat Ko Aazmane Se Darte Hain!

Tumse Nahi,Tanhai Se Darte Hain

Uni Bund Galiyon Ke

Uni Bund Galiyon Ke Bund Darvazoun Main,
Na Poucho Hum Apna Naseeb Kehan Chor Aaye.

Uni Bund Galiyon Ke

Tumne Na Suni Dhadkan

Tumne Na Suni Dhadkan Humari
Par Humne Mehsoos Ki Saanse Tumhari
Itne Dur Hokar Bhi Kareeb Ho Aap
Shaayad Yahi Hai Khush Naseebi Humari

Tumne Na Suni Dhadkan

Humne Bhi Chaha

Humne Bhi Chaha Har Manzil Kareeb Ho
Har Waqt Aapka Saath Naseeb Ho
Par Wahan Khuda Bhi Kya Kare
Jahan Insaan Khud Badnseeb Ho

Humne Bhi Chaha

Hum Ne Bhi Chaha Har

Hum Ne Bhi Chaha Har Manzil Karib Ho
Har Waqt Aap Ka Saath Naseeb Ho
Par Wahan Khuda Bhi Kya Kare
Jahan Insaan Khud Badnasib Ho

Hum Ne Bhi Chaha Har

Hum Toh Har Ek Ko Apnakar

Hum Toh Har Ek Ko Apnakar Rishtha Banate Gaye.
Jahan Jahan Se Guzre Apni Yaad Chodte Gaye
Par Kismat Ka Likha Bhi Ajeeb Hai,
Gunegar Koi Aur, Hum Saza Paate Gaye.

Hum Toh Har Ek Ko Apnakar

Jab Kabhi Aankh Mein

Jab Kabhi Aankh Mein Ashque Bhar Aye
Kuchh Log Dubte Nazar Aye
Hum Intzar Kar Rahe The Barson Se
Jinka Mera Naseeb Hai Ki Aaj Wo Udher Aye

Jab Kabhi Aankh Mein

Duniya Ka Har Shaunk

Duniya Ka Har Shaunk Pala Nahi Jata
Kanch Ke Khilono Ko Yun Uchala Nahi Jata
Mehnat Karne Se Mushqile Ho Jati Hain Aasan
Har Kaam Taqdeer Pe Dala Nahi Jata

Duniya Ka Har Shaunk

Mana K Nasib Me Hamare

Mana K Nasib Me Hamare Koi Sanam Nahi
Phir Bhi Koi Shikwa Koi Ghum Nahi
Tanha Hai Phir Bhi Jiye Ja Rahe Hai
Kyouki Badnasib To Wo Hai,Jinke Nasib Me Hum Nahi.

Mana K Nasib Me Hamare

Sapne Ki Tarha Tujhe

Sapne Ki Tarha Tujhe Saja Ke Rakhon,
Chandni Raat Ki Nazron Se Chupa Ke Rakhon,
Meri Taqdeer Mere Saath Nahin Hai,
Warna Zindagi Bhar Tujhe Apna Bana Ke Rakhon.

Sapne Ki Tarha Tujhe

Taqdeer Se Apni Sabko

Taqdeer Se Apni Sabko Shikayat Kyu Hai
Jo Dost Nahi Mil Sakta Usi Se Mohabbat Kyu Hai
Kitne Khaate Hai Raho Pe
Phir Bhi Dil Ko Usi Ki Aarzo Kyu Hai…

Taqdeer Se Apni Sabko

Kyon Basate Hain Log

Kyon Basate Hain Log Kisi Ko Dil Main
Bewafai To Zamane Ki Fitarat Hai
Kisi Ko Mili Kushi, Kisi Ko Gum
Ye To Apni-Apni Kismat Hai

Kyon Basate Hain Log

Taqdeer Ka Rang

Taqdeer Ka Rang Kitna Ajeeb Hai,
Anjana Rishta Hai Phir Bhi Kareeb Hai,
Har Kisi Ko Dost Aap Jaisa Nahi Milta,
Mujhe Aap Mile Ye Mera Naseeb Hai.

Taqdeer Ka Rang

Kuch Kismat Hi Mili

Kuch Kismat Hi Mili Thi Aisi
Ke Chain Se Jeene Ki Soorat Nahi Hui
Jise Chaha Use Paa Na Sake
Jo Mila Usse Mohabbat Na Hui

Kuch Kismat Hi Mili