Shayari About Holi - Page 2 - Hindi Shayari

Socha Kisi Apne Se

Socha Kisi Apne Se Baat Karein,
Apney Kisi Khaas Ko Yaad Karein,
Kiya Jo Humne Faisla Holi Mubaraq Kehne Ka,
Dil Ne Kaha Kyun Na Aap Se Shuruaat Karein.

Socha Kisi Apne Se Baat Karein

Aaj Mubarak,Kal Mubarak

Aaj mubaarak, kal mubarak,
Holi ka har pal mubarak,
Rang birangi holi mein,
Holi ka har rang mubarak….

Aaj Mubarak,Kal Mubarak

Ye Jo Rango Ka

ye jo rango ka tyohar hai,
is din na hue laal pile to zindagi bekar hai,
rang lagana to itna pakka lagana,
jitna pakka tu mera yaar hai.

Ye Jo Rango Ka

Aaj Rang Lo

Aaj rang lo is mehfil mein,
Khelo jhoom kar holi,
Ched do har dil ko aaj Bol kar pyar ki boli,
Lal gulal aur har rang mein,
Aaye jeevan mein baharon ki doli.

Aaj Rang Lo

Tum Bhi Jhoome Masti Me

Tum bhi Jhoome masti me,
Hum bhi jhoome masti me,
Shor hua saari basti me,
Jhoome sab holi ki Masti me,
Mast Mast ye Masti rahe sada aapki Kashti me,
Beet Gayi HOLI fir bhi,
Mubarak ho HOLI bheegi masti Me !

Tum Bhi Jhoome Masti Me

Niklo Galiyo Mein

Niklo galiyo mein bana k toli,
bhiga do aaj har ladki ki jholi,
muskura de to usey bahon mein bhar lo..
varna nikal lo keh k HAPPY HOLI..!!

Niklo Galiyo Mein

Bhar Bhar Ke Jaam Pilaao

Bhar bhar ke jaam pilaao,
Chang aur mridang bajao,
Gile shikve bhul jaao,
Man galiyaara chaheke,
Aisi satrangi chadar faihrao,
Aao sab milkar holi manao!

Bhar Bhar Ke Jaam Pilaao

Bhar Bhar Ke Jaam Pilaao

Lal Gulabi Rang Hai

Lal gulabi rang hai jhoom raha sansar,
Suraj ki kiran Khushiyon ki bahar,
Chand ki chandni Apno ka pyar,
Shubh ho aap sabki ye Rangon ka tyohar.

Lal Gulabi Rang Hai

Barish Ho Rang Ka

Barish ho rang ka,
Khushi our umang ka,
Holi manaye kuchh is tarah,
Sath chhute na apno ke sang ka

Barish Ho Rang Ka

Khaa Ke Gujiye

Khaa ke gujiya, pee key bhaang,
laaga k thora thora sa rang,
baaja ke dholak aur mridang,
khele holi hum tere sang.

Khaa Ke Gujiye